Home Videos youtube ne videos aur e commerce ke 2 ahm features paish kardiye

youtube ne videos aur e commerce ke 2 ahm features paish kardiye

266
0

youtube ne videos aur e commerce ke 2 ahm features paish kardiye

youtube ne videos aur e commerce ke 2 ahm features paish kardiye, youtube ne haal hi mein makhsoos hash tag videos ke liye alehda page ka elaan kya tha aur ab is ne 2 shandaar feature paish kiye hain jo yooutuber ke liye bhi nihayat madadgaar saabit ho saktay hain .

un mein se aik feature video mein mojood item ya ashya ko tag karne ka hai aur dosra feature yeh hai ke kisi bhi video ko up load karkay aap fori tor par 24 ghantay is ki maqboliat aur deegar tafseelaat ka ahwaal maloom kar saktay hain .

video tag feature
youtube ne videos aur e commerce ke 2 ahm features paish kardiye, baaz ahem youtubers aur video bananay walay idaron ko plat form ki taraf se dawat di gayi hai ke woh video ke andar hi mojood mukhtalif ashya ko tag kar saktay hain. is mein koi kitaab bhi hosakti hai, koi phone ya koi furniture bhi shaamil kya ja sakta hai. maslan agrkoyi youtuber  kisi phone aur is se munsalik alaat par guftagu kar raha hai to woh video ke douran hi tag karkay is ki tafseelaat, Website ya qeemat waghera shaamil karsaktha hai .

youtube ke mutabiq is terhan aik janib tak e commerce aur youtube se video se barahay raast kharidari ko farogh miley ga to doosri janib youtuber ki aamdani mein bhi izafah hosakay ga. youtuber ke bazabta bayan ke tehat jin ashya ko tag kya jaye ga wahan shopping bag icon aajay ga jo video ke baen kinare par dekha jasakay ga. is par click karkay kharidari ke option aur deegar tafseelat ko shaamil kya jasakay ga .

fi al haal yeh option America mein dekha gaya hai aur bohat jald poori duniya ke liye dastyab hoga .

youtube matrix option

agarchay youtube studio mein videos ke liye matrix insider pehlay se hi mojood hai taham is mein aik naya feature shaamil kya gaya hai jo bilkhushoos un youtubers ke liye hai jo lamha bah lamha apni takhleeqat par fikarmand rehtay hain. is ki badolat aap dekh saken ge ke nai video up load honay ke 24 ghantay baad kya sorat e haal hai aur is ke bunyadi data kya zahir karte hain .

dilchasp baat yeh hai ke is terhan aap do videos ki 24 ghatney ki sorat e haal aik sath dekh satke hain. is terhan videos ki karkardagi ko behtar tor par jan-nay aur maloomat haasil karne mein bohat madad mil sakay gi .