Home Lifestyle Dining Yeh moli nahi balkay soraj mukhi kheeria hai

Yeh moli nahi balkay soraj mukhi kheeria hai

266
0
Yeh moli nahi

Yeh moli nahi balkay soraj mukhi kheeria hai

Yeh moli nahi balkay soraj mukhi kheeria hai, tasweer mein dikhayi dainay wali safaid sabzi bzahir Mooli lag rahi hai lekin dar haqeeqat yeh aik khaas terhan ka kheera hai jisay angrezi mein’ ‘ albeno cucumber ‘ ‘ aur urdu mein’ ‘ Sooraj makhi kheera’ ‘ kaha jata hai .

yeh is liye hai kyunkay’ ‘ Sooraj makhi’ ‘ kehlanay walay insanon ki bilkul safaid jald ki terhan yeh kheeray bhi andar aur bahar se bilkul safaid hotay hain. taham kisi bemari ki wajah se aisa nahi hota balkay yahi is kheeray ki sab se khaas baat hai .

safaid kheeray ya albeno cucumber sab se pehlay 1893 mein aik Amrici company ne tijarti pemanay par farokht karna shuru kiye they, lekin aam kheeron ke muqablay mein bohat ziyada mehngay honay ki wajah se un ki maqboliat kuch khaas nah hosaki .

ikeeswen sadi mein internet aur social media ki badolat un ki maqboliat mein izafah hona shuru hwa jabkay mukhtalif idaron ne safaid kheeray aur un ke beej online bhi farokht karna shuru kardiye. aaj yeh white wonder, ivory king, jack frost, landrates white slicing aur white albeno jaisay naamon se dastyab hai .

safaid kheeray ke beej farokht karne wali aik company ka kehna hai ke agarchay yeh dekhnay mein safaid hotay hain magar un mein zara bhi karhwahat nahi hoti aur un ka safaid chilka itna bareek hota hai ke usay uttare baghair bhi yeh kheeray khaye jasakte hain. inhen kisi bhi qisam ki salad aur achaar mein istemaal kya ja sakta hai .