Home Lifestyle Culture yadgar din jab safaid Chanbeli ko qaumi phool qarar diya gaya

yadgar din jab safaid Chanbeli ko qaumi phool qarar diya gaya

343
0
yadgar din jab safaid

yadgar din jab safaid Chanbeli ko qaumi phool qarar diya gaya

yadgar din jab safaid Chanbeli ko qaumi phool qarar diya gaya,Chanbeli ka phool apni safaid rangat, nazakat ki wajah se khoob soorat aur khush numa nazar aata hai. usay Pakistan ka qaumi phool tasleem kya gaya hai. yeh faisla 15 July 1961 ko kya gaya tha. aaj isi khush rang, mehaktay lehektey aur bahhar dikhata phool ke hawalay se aik yadgar din hai .

dil chasp baat yeh hai ke Chanbeli ko baaz muashoron mein umeed ki kiran, sukoon aur raahat ki nishani aur khush bakhti ki alamat tasawwur kya jata hai. isi terhan yeh mukhtalif mazahab mein bhi ahmiyat rakhta hai aur usay rohaniyat main khaas maqam haasil hai .

Chanbeli ko is zamane mein qaumi nishaan qarar dainay ki wajah yeh thi ke yeh is waqt ke mutahidda Pakistan mein har ilaqay mein paaya jata tha. is phool ki mukhtalif aqsam main Juhi , Yasmin aur deegar shaamil hin‌, lekin safaid Chanbeli ko qaumi nishaan ke liye muntakhib kya gaya jo aik sada bahhar bail par khilta hai. is ke pattay chamak daar aur phool chaar ya paanch pankherion wala hota hai .

is phool ko Pakistani adab mein bhi ahmiyat di gayi aur takhleeq karon ny –apne mazameen aur ashaar main usay burta aur Pakistani masrooron ny bhi is phool ko canvas par utaara aur fitrat ki manzar kashi krtay huay isay apnay fun paron mai namayan kia hai.