Home Technology ya masnooyi khal dard bhi mehsoos ker skty hai

ya masnooyi khal dard bhi mehsoos ker skty hai

440
0
ya masnooyi khal

ya masnooyi khal dard bhi mehsoos ker skty hai

ya masnooyi khal dard bhi mehsoos ker skty hai,australvi aur bngla deshi science daano naay mushtarqa tor par tahaqeeq karte hue aik aisi masnoi khaal ijaad karli hai jo dard bhi mehsoos kar sakti hai. umeed hai ke usay mustaqbil mein aisay masnoi aaza ki tayari mein istemaal kya jasakay ga jo garmi, sardi aur dabao ke ilawa dard bhi mehsoos karne ke qabil hon ge .

melbourn, Australia ki RMIT university mein PHD taalib ilm Ata al – rahman aur un ke sathiyon naay khaal se dimagh taq dard ke ehsas ki muntaqili ki naqal karte hue yeh jald tayyar ki hai .

aam halaat mein hamari jald garmi, sardi aur dabao ko mamool ke tor par mehsoos karti hai lekin jaisay hi koi kefiyat shadeed hoti hai, waisay hi hamari khaal ke asaab mein khaas terhan ka hejaan peda hota hai jis ke signal hamaray dimagh taq poanch kar dard ke ehsas ko janam dete hain .

maslan agar hamara haath taiz garam salakh se takra jaye to asaab mein peda honay walay shadeed signals kisi taiz bochhaar ki manind hamaray dimagh taq pahunchaty hain jis ke jawab mein hamara dimagh fori karwai amal mein lata hai aur hum apna haath peechay hata letay hain .

is hikmat e amli ke nateejay mein hamara jism kisi barray nuqsaan se mehfooz rehta hai ya mehfooz rehne ki bharpoor koshish karta hai .

yeh masnoi khaal theek isi usool par kaam karti hai. yeh darja hararat aur dabao mein tabdeelion ki musalsal pemaiesh karti rahi hai aur un mein se koi bhi jaisay hi aik khaas hadd se kam ya ziyada hoti hai to yeh usay’ ‘ dard’ ‘ qarar dete hue markazi nizaam ko is ki ittila day deti hai .

tawaqqa hai ke mustaqbil mein usay dard mehsoos karne walay masnoi aaza ke ilawa aisay ensaan numa robots mein bhi istemaal kya jasakay ga jo suneney, dekhnay, soonghnay aur chhoo kar mehsoos karne ke sath sath’ ‘ dard’ ‘ mehsoos karne ke qabil bhi hon ge .