Home Point of View Ya chota bacha nahi balkay 33 sala Admi hai

Ya chota bacha nahi balkay 33 sala Admi hai

291
0
Ya chota bacha

Ya chota bacha nahi balkay 33 sala Admi hai

Ya chota bacha nahi balkay 33 sala Admi hai, tasweer mein nazar anay walay’ ‘ bachay’ ‘ ka naam dins hai aur yeh roos ka bashindah hai. lekin thehriye! yeh koi chhota bacha har gaz nahi balkay aik’ ‘ aadmi’ ‘ hai jo 1987 mein peda hwa tha aur aaj is ki Umar 33 saal hai .

chand roz pehlay aik roosi youtuber ne dins ka interview kya, jis ke baad woh social media par maqbool hogaye. instagram par denvashurin125 ke naam se un ka account hai jis ke followers ki tadaad 4600 se ziyada hai .

interview ke douran dins ne bataya ke jab woh bohat chhootey thay, tab hi se un ke walidain ko andaza hogaya tha ke woh apni asal Umar ke muqablay mein bohat chhootey dikhayi dete hain .

–apne qad kaath aur chehray muhray se woh aaj bhi school mein padhany walay bachay ki terhan lagtay hain. shayad isi wajah se unhon ne kisi shehar mein muntaqil honay ke bajaye –apne aabadi ilaqay ke aik qasbay mein rehne hi ko tarjeeh di .

yahan woh apna waqt ziyada azadi aur be fikar se guzartay hain, shikaar khailtay hain, machhliyan pakarte hain aur –apne ghar walon ke sath khush rehtay hain .

pukhta Umar mein aajane ke bawajood woh kyun kisi bachay ki terhan nazar atay hain? is sawal ke jawab mein dins ka kehna tha ke inhen yeh jan-nay mein koi dilchaspi nahi, isi liye woh aaj tak kisi dr ya maahir ke paas yeh maloom karne nahi gaye ke woh itnay kam Umar kyun dikhayi dete hain .