woh nuqsanaat jo zehni tanao ki wajah se jism par muratab hotay hain
woh nuqsanaat jo zehni tanao ki wajah se jism par muratab hotay hain, zehni tanao dimagh ke sath sath jismani sehat ko bhi mutasir karta hai, aaj aap ko zehni tanao se honay walay jismani nuqsanaat ke baray mein bataya ja raha hai .
Saudi Website par shaya shuda aik report mein insani shakhsiyat par nafsiati tanao ke mukhtalif asraat ka zikar kiya gaya hai jo jald, balon aur nakhunon par zahir hotay hain jo mandarja zail hain .
aankhon ke gird halqay
neend mein khlal aur be khwabi ki wajah zehni tanao ho sakta hai jis ki wajah se nichale papooton ke neechay seyal madah jama hojata hai aur aankhon ke ird gird halqay ban jatay hain .
aankhon ke gird yeh halqay pait ke bil sonay se mazeed barhatay hain, un se chutkaray ke liye 8 ghantay ki mukammal neend leni chahiye aur sonay se kam az kam aik ghanta pehlay electronic askrinin waghera band kar ke aankhon ko aaraam dena chahiye .
woh nuqsanaat jo zehni tanao ki wajah se jism par muratab hotay hain, subah uthte waqt ankhen sooji hui mehsoos hon to fridge mein rakhay hue chamach aankhon ke gird laganay se un mein behtari askati hai .
jild ki khushki
uktahat aur thakawat honay ka barah e raast assar jald par parta hai jis se jald mein khushki peda hoti hai, is ke sath cold drinks aur qehwa waghera bhi jald ko khushk karta hai. is ke liye rozana 8 glass pani zaroor piyen aur is ke sath deegar juices bhi istemaal karen .
sabz chaye bhi Muawin saabit hosakti hai kyunkay woh anti oxydents se bhar poor hoti hai, is ke ilawa pani se bharpoor khanay ki ashya jaisay taaza phal aur sabzian waghera bhi kasrat se khayen .
chehray ki surkhi
thakawat aur chehray ki surkhi ke ehsas ko kam karne ke liye aaraam ki mashqen karen aur asaab ko raahat pohanchanay walay tail se maalish karen, chehray se surkhi kam karne ke liye kareem ka istemaal bhi kya ja sakta hai .
keel mahasay
zehni tanao jism mein hormone cholestrol ki satah ko berhata hai, is se jald mein kuch aisay maday peda hotay hain jo keel mahason ka zareya bantay hain, is maslay ke hal ke liye mahireen gehri sansen lainay ka mahswara dete hain taakay tanao ki kefiyat kam ho, isi terhan sehat mand khoraak apnayen. un iqdamaat se tanao aur mahason mein yaksaa kami hogi .
jhuriyan
chehray par kuch jhuriyan khasosan honton aur bhawo ke gird jhuriyan thakawat ke ehsas ki wajah se banti hain. jis qader tanao barhay ga jhuriyan gehri hoti chali jayen gi, is liye jald se jald tanao ki kefiyat ko kher bad kahin aur chehray par peda ho jane wali jhuriyon ke liye kisi mayaari kareem ka istemaal karen .
zehni tanao ka balon par assar
woh nuqsanaat jo zehni tanao ki wajah se jism par muratab hotay hain, tanao ka maamla jِld tak hi mehdood nahi rehta balkay yeh aik qadam agay barh kar balon ki sehat ko bhi kayi tareeqon se mutasir karta hai .
zehni tanao balon ke hayatiati marhalay ko taiz karta hai jis ki wajah se woh jald nashonuma ke marhalay se guzar kar inhitat ya nuqsaan ke marhalay mein daakhil ho jatay hain, balon ka jharna bhi tanao ki wajah se honay wali jismani tabdeeli ka nateeja hota hai .
is mushkil waqt mein achay aur khalis tail aur shampoo waghera ke zariye balon ki hifazat ki ja sakti hai jo balon ki nashonuma ko behtar karta hai aur inhen nuqsaan se bachata hai .
zehni tanao ka nakhunon par assar
nakhunon ki sehat ka talluq jism aur is par guzarnay wali kefiyat ke sath hota hai, nakhunon par tanao ke sab se numaya asraat yeh hotay hain .
nakhunon par amoodi linon ki zahiri shakal aam hai aur aam tor par Umar bherne ya vitamins ki kami ki wajah se hoti hai, yeh khatarnaak nahi hai. Albata ufuqi khutoot aam tor par nafsiati dabao ke nateejay mein zahir hotay hain, yeh sehat se mutaliq masail jaisay diabities, zank ki kami aur ragon ki bimarion ki bhi nishandahi karte hain .
is liye nakhunon par ufuqi lakiron ke zahir honay ki soorat mein dr se mahswara zaroor karen aur is kefiyat ko nazar andaaz nah karen .