woh mamooli aadat jo hamaray liye sakht nuqsaan da saabit hosakti hai
woh mamooli aadat jo hamaray liye sakht nuqsaan da saabit hosakti hai, aksar auqaat hum apni zindagi mein aisi aadato par amal pera hotay hain jin ke baray mein hamein ilm nahi hota ke woh hamaray liye nuqsaan da hain. aisi hi aik aadat khana khanay ke foran baad ghusal karne ki hai .
khana khanay ke foran baad ghusal karne se hamaray barray aksar hamein mana kya karte hain, tibbi science ne bhi usay nuqsaan da saabit kardiya hai .
mahireen ke mutabiq khana khanay ke foran baad nahana hazme mein mushkil peda karsaktha hai .
darasal jab hum khana khatay hain to maiday ke gird douran khoon ki gardish barh jati hai jis se khana aasani se hazem hojata hai. lekin agar hum khana khanay ke foran baad nahanay chalay jayen ge to khoon ki ravani sirf maiday ke bajaye poooray jism mein taiz hojaye gi aur yun hazme ka amal ruk jaye ga .
nahanay ke baad hamaray jism ka darja hararat bhi kam hojata hai aur jab yeh darja hararat –apne mamool par wapas aata hai to hazme ka amal dobarah shuru karne ke liye jismani aaza khasosan dil ko khoon pump karne ke liye izafi kaam karna parta hai .
hazme ka amal ruk jane ya sust prhjane se tabiyat mein boujhal pan peda ho sakta hai jabkay tezabiyat bhi hosakti hai .
is tamam amal se bachney ke liye mahireen ki tajweez yahi hai ke khana khanay ke baad nahanay ke bajaye, nahanay ke baad khana khaya jaye jab jism halka phulka hota hai aur tabiyat taaza dam hoti hai .