woh darakht jis ka phal hi nahi chhaal aur pattey bhi hamaray liye mufeed hain
woh darakht jis ka phal hi nahi chhaal aur pattey bhi hamaray liye mufeed hain,yeh mohawra to aap neh hi suna ho ga ke jis ghar mein berry ho wahan pathar to atay hain. is ke ilawa bhi urdu zabaan ke aik do mhavron ya misalon mein hamein bair ka zikar mil jaye ga. yeh woh mashhoor phal hai jis ke darakht bar e sagheer mein aam hain .
bair ka darakht ghana aur tanawar hi nahi khaar daar aur sada bahhar hota hai. is par sabz rang ke chhootey chhootey phool atay hain. bar e sagheer mein berry ki do aqsam aam hain jin mein se aik jungli hai aur umooman jhaari ki shakal ki hoti hai .
jungli berry ko aksar jhar berry bhi kehte hain. yeh khud ro hoti hai aur is ka phal chhota aur gole hota hai. is ke muqablay mein berry ki doosri qisam kaasht ki jati hai .
kaasht kiye gaye darakht ka phal kisi qader baizvi aur goday wala hota hai. yeh jasamat mein jungli berry se bara aur sheree hota hai. taham is ki mukhtalif doosri aqsam bhi hain jo rang, hajam aur zaiqay ke aitbaar se allag hain .
qudrat ney is pairr ke phal, chhaal aur pattoun mein ghizai ifadiyat aur adwiyati khawaas rakhay hain .
tibbi mohqiqeen aur mahireen ghizaiyat ke mutabiq bair vitamin “B” ka khazana hai .
yeh –apne naram goday aur sheereeni ki wajah se har Umar ke logon ke liye pasandeeda hota hai. is se hum insanon ko vitamin ki mukhtalif aqsam jin mein ae aur d bhi shaamil hin, haasil hoti hain .
bair woh phal hai jis mein qudrati madniyaat mein se folaad, calcium, potassium aur fluorine mojood hain aur yeh hamari sahet ke liye zurori hain .