Home Health Virus aur anti bodies ki hologram say shnakht

Virus aur anti bodies ki hologram say shnakht

270
0
Virus aur anti bodies

Virus aur anti bodies ki hologram say shnakht , duniya bhar mein nnat naye virus, bacteria aur anti bodies samnay atay rehtay hain aur ab New York university mein mahireen ki aik team ne holographic tasweer saazi ka bilkul naya tareeqa waza kya hai jo virus aur anti bodies ko shanakht karkay tibbi azmaish mein madad deta hai .

yeh tehqeeq Covid 19 ke pas manzar mein ki gayi hai jis mein khalstan tibbiyat se madad li gayi hai. is ke rooh rawan professor david grayer hain jo kehte hain ke physics ko pehlay is terhan kabhi istemaal nahi kya gaya tha jis mein hum ne haqeeqi tor par virus aur antibodies ko khaas daano par chupkay hue dekha hai .

yeh tehqeeq soft meter Nami journal mein shaya hui hai aur usay behtar bana kar sirf 30 minute mein injaam diya ja sakta hai. yaksaa tor par yeh virus ( infection ) ya phir antibodies ( ammunity ) ko dekhnay mein madad deta hai. is tehqeeq mein New York university ke deegar science danon ne bhi apna kirdaar ada kya hai. taham sab ne milakar usay holographic video microscopi ya holographic tashkhees ka naam diya hai .
is mein sab se ahem kirdaar intehai bareek motiyon ka hai jo jo hayati keemiyai amal se virus aur anti bodies ko chipka letA hai. is terhan moti aik meter ke hissay tak thori phail jati hain. phir un tabdeelion ko hologram ke zariye dekha jata hai .

hologram nizaam aik second mein aik darjan motiyon ka jaiza le sakta hai yani 20 minute mein aik hazaar motiyon se chimtay virus aur anti bodies ko dekha ja sakta hai. yeh nizaam mukammal tor par qabil aetmaad aur intehai kam kharch hai .

dilchasp baat yeh hai ke is mein khaas aala’ x site’ istemaal hwa hai jisay khud david ne ijaad kya hai. is nizaam ko aasani se istemaal karkay mukhtalif motiyon ko khaas basri tareeqon se dekha jata hai aur un ke hologram karhay jatay hain .

tawaqqa hai ke yeh inqalabi technology virus ki tashkhees aur ilaaj mein ahem kirdaar ada kar sakay gi .