tanhaye diabetes aur degar amraz ki waja bn sakty hai
tanhaye diabetes aur degar amraz ki waja bn sakty hai, pehli martaba taweel tanhai aur type two diabities ke darmiyan talluq daryaft hwa hai. is zimn mein ausatan 65 saal se zayed Umar ke hazaron afraad ka kayi baras tak jaiza liya gaya hai .
Bartania mein honay wali tehqeeq ke shuru mein kisi ko bhi diabities ka marz la-haq nah tha lekin baad azan kuch log type two diabities ke shikaar hogaye. majmoi tor par un mein se chay feesad afraad is ke shikaar hogaye aur inhen type two diabities la-haq hogayi .
is tehqeeq mein mahireen ne diabities ke shikaar honay walay afraad mein tanhai ki shiddat ko bhi note kya aur baaz afraad mein dekha ke un mein diabities ke imkanaat bhi peda ho rahay thay .
yeh tehqeeq university of California mein ki gayi jis mein maahir nafsiat ka tayarkarda aik pemana ( scale ) ista-aal kya gaya jo tanhai ko zahir karta hai. is mein swalname ke zariye logon mein tanhai ki shiddat ka andaza lagaya gaya aur is ke liye aik sawal poocha gaya ke’ aap din mein kitni martaba kisi ki rafaqat ki kami mehsoos karte hain aur kis shiddat se doston ko apni zindagi ka hissa samajte hain ?
mahireen ne dekha ke tanhai sharaab noshi, be amli aur cigrette noshi ki taraf dhkilti hai. is ke ilawa tamam shrka ke wazan, blood pressure aur deegar amraaz ke baray mein bhi sawalaat kiye gaye. is ke ilawa dimaghi amraaz ke tamam pehluo ka bhi bharpoor jaiza liya gaya. mahireen ne depration aur zehni tanao ko bhi note kya. deegar awamil mein samaji tanhai aur umomi tanhai ko allag karkay dekha gaya .
sab se ahem baat yeh samnay aayi ke tanhai ki wajah se jism baaz aisay hormone kharij karta hai jo depration aur tanao ko zahir karte hain. un mein cartisol bohat numaya hai. is se dil ke amraaz, blood pressure aur diabities ka janam bhi ho sakta hai. lekin science kehti hai ke agar aap ki tanhai bohat taweel ho to is se bohat gehray manfi asraat muratab hotay hain .