Tandori Chiken Sandwich Recipe
Tandori Chiken Sandwich Recipe, is chicken Sandwich mein istemaal honay walay tandoori masalay is ki lazzat ko mazeed barha dete hain. masalon aur jari bootion ko munasib miqdaar mein daal kar uska lazeez aur teekha zayega haasil kya jata hai. taakay har shakhs is chatkharay daar sandwich ko enjoy kar sakay. is sandwich ko mazeed grill kya jata hai taakay tamam zaiqoon ka zabardast lutaf uthaya jasakay, aur aap ki pasand ke mutabiq is mein desi touch ka izafah bhi hojata hai !
Ajzaa
Marination
Chikken ka bgair haadi gosht 0.5 kg
Adrak, lehson paste 1 khanay ka chamch
Lemon juice 2 khanay k chamch
Namak hasb e zaiqa
Kali mirch 1 chaye ka chamch
Tandori masla 2 khanay k chamch
Lal mirch powder 1 chaye ka chamch
Tail/ oil 0.5 cup
Pyaz 1 cup
Kheera 1 cup
Hari mirchain 2 se 3 adad
Podeena 3/4 cup
Hara dhaniya 3/4 cup
Zeera 1/2 chaye ka chamch
Chaat masala 1 chaye ka chamch
Lal mirch powder 0.5 chaye ka chamch
Mozrella cheeze 1 cup
Double roti hasb e zrorat
Anday 3 adad
Terkeeb
1. aik pyaale mein bon lais chicken len .
2. ab is mein adrak, lahsun ka paste, lemon juice, namak, kaali mirch, tandoori masala aur laal mirch powder shamil karen .
3. ab tamam cheezon ko achi terhan mix karen .
4. ab karahi mein tail dalain aur is mein marinated chicken shaamil kar dein .
5. ab karahi mein hi kaanton ki madad se murghi ke gosht ke raizay karlen .
6. ab aik pyaale mein kati hui pyaaz, kheera, hari mirchain, podina, dhaniya, zeera, chaat masala, laal mirch powder, namak aur Mozrella cheez shaamil karen, aur tamam cheezon ko achi terhan mix karen .
9. ab usay plate se achi terhan dbayin taakay masala bahar nah niklay .
10. ab aik dish mein, teen anday len aur inhen achi terhan phaint len .
11. ab pen ko thoray se tail se grace karlen
12. ab sandwich ko dono taraf se aik se do minute ke liye paknay den .
mazedar tandoori chicken sandwich se lutaf andoz hon aur neechay comments section mein hamein apni qeemti raye se aagah karen .