tambaku noshi karne walay ab ho jaien hooshiyar !
tibbi mahireen se tambaku noshiii ke nateejay mein sangeen bimarion ka to hum sun chuke hain lekin ab aisay khatray ka ishara kya gaya hai jo kisi insaan ko mout ke mun mein le ja sakta hai .
Bartania mein honay wali aik tehqeeq mein inkishaaf hwa hai ke tambaku noshi corona mareezon mein alamaat aur virus ki shiddat mein barha deti hai, mushahiday ke douran daryaft hwa ke covid 19 ki alamaat aur shiddat mein izafay ka khatrah is aadat se daur rehne walon ke muqablay mein bohat ziyada hota hai .
Bartania ke kings college London mein honay wali tehqeeq mein corona mareezon ka tambaku noshi ki aadat ke asraat jaiza liya gaya aur yeh jan-nay ki koshish ki gayi ke tambaku noshi karne walay aur is aadat se mehfooz mareezon mein kya tabdeelian runuma hoti hain, mohqiqeen ne covid ki alamaat bitanay wali aik study app ke data ka tajzia kya .
data mein 11 feesad aisay mareez thay jinhein tambaku noshiii ki aadat thi, tehqeeq ke doraniye ke douran is app ko istemaal karne walay aik tahai se ziyada afraad ne jismani tor par na-saazi ko report kya .
tehqeeq se pata chala ke corona ki aam alamaat ki shiddat deegar afraad ke muqablay mein tambaku noshiii ke shikaar logon mein 14 feesad ziyada hoti hai, jin mein bukhaar, musalsal khansi aur saans mein mushkilaat waghera shaamil hain. jabkay tambaku noshiii ke aadi afraad covid 19 se mutaliq 5 se ziyada alamaat ko report karte hain .
yeh bhi daryaft hwa ke 50% afraad mein alamaat das se ziyada bhi theen, jin mein soonghnay ki hiss se mehroomi, khanay ki ishtiha khatam hona, haiza, thakawat, zehni uljan aur muscles ka dard qabil zikar hai. mahireen ka maanna hai ke alamaat ki tadaad jitni hogi is ki shiddat bhi itni hi hogi .
tambaku noshii karne walay ab ho jaien hooshiyar !, mushahiday mein yeh baat bhi samnay aayi ke deegar ke muqablay mein woh mareez jo tambaku noshi karte hain un ke hospital mein daakhil karaye jane ke imkanaat do gina barh jatay hain, mahireen ne mahswara diya hai ke woh is jaan lewa aadat ko chore den, kyunkay yeh latt alamaat aur is ki shiddat mein izafah kar sakti hai .