sust zindagi guzaarna burhapay mein kya nuqsaan pouncha sakta hai ?
sust zindagi guzaarna burhapay mein kya nuqsaan pouncha sakta hai, aaj duniya bhar mein burhapay mein yad dasht ko kharab karne wali bemari alzaimar se bachao ka aalmi din manaya ja raha hai. mahireen ke mutabiq jismani tor par ghair fa-aal aur sust zindagi guzaarna burhapay mein yad dasht ki kharabi ka sabab ban sakta hai .
alzaimar aik dimaghi marz hai jo umooman 65 saal se zayed Umar ke afraad mein aam hai. is marz mein insaan –apne aap se mutaliq tamam cheezon aur rishton ko bhool jata hai. mahireen ke mutabiq alzaimar amwaat ki wajah ban’nay wali bimarion mein chhatay number par hai .
is marz se aagahi peda karne ke liye har saal 21 September ko alzaimar ka aalmi din manaya jata hai .
aik mohtaat andazay ke mutabiq is waqt duniya bhar mein 4 crore 60 laakh afraad is bemari se mutasir hain, aik report ke mutabiq poori duniya mein 2050 tak har 8 mein se 1 shakhs is marz mein mubtala ho sakta hai .
tibbi mahireen ka kehna hai ke khoon mein shukar ki miqdaar ki kami se yad dasht ki kami waqay honay lagti hai aur yahi alzaimar aur daminshiya jaisay amraaz ka sabab banti hai. khoon mein shukar ki miqdaar aur satah ko normal haalat mein rakh kar is bemari ko roknay ki koshish ki ja sakti hai .
is ke sath sath blood pressure ko control karna bhi laazmi hai kyunkay fashaar khoon ziyada honay se bhi dimagh mein glucose ki farahmi ke tanasub mein gur barr peda ho jati hai .
mahireen ka kehna hai ke jismani tor par fa-aal rehna bhi dimagh ke liye faida mand hai aur yad dasht ki kharabi se bacha sakta hai. choti mouti dimaghi mashqen jaisay rayazi ki mashqen zabani hal karna, hisaab karna, cheezon ko yaad karna, puzzle hal karna bhi dimagh ko chust aur fa-aal rakhta hai .