Home Lifestyle Fitness Sirf chand mint ki walk b damagh k lia mufeed qarar

Sirf chand mint ki walk b damagh k lia mufeed qarar

241
0
Sirf chand mint

Sirf chand mint ki walk b damagh k lia mufeed qarar

Sirf chand mint ki walk b damagh k lia mufeed qarar, baat ab Musalmah haqeeqat ban chuki hai ke werzish aur taiz qadmon ki chehal qadmi insani dimagh ke liye bohat faida mand hoti hai. lekin ab maloom hwa hai ke sirf do minute ki walk bhi fori tor par dimagh aur yad dasht ko behtar bnaskti hai .

agarchay is mein sirf 13 talba o talbat naay hissa liya hai jin ki umrein 18 se 35 baras theen lekin shmaryati lehaaz se yeh surway apni jagah ahmiyat rakhta hai. doosri janib mahireen naay duniya ke yuger hisson mein honay wali 13 tehqiqaat ka bareeqi se jaiza bhi liya hai .

is se pehlay bhi kayi tehqiqaat se zahir hochuka hai ke werzish karne aur dornay se dimagh mein aisay protein ki pedawar barh jati hai jisay’ brain derived neuro troffic factor’ kaha jata hai .

yeh protein aik janib to yad dasht ko mazboot banata hai to doosri janib kisi bhi kaam par hamari tawajah aur artkaz mein izafah karta hai. lekin ab mahireen keh rahay hain ke unhon nay sirf do minute cycle chalanay, dornay ya taiz qadmon se chehal qadmi karne ke amal ko dimagh ke liye mufeed qarar diya hai. is zimn mein swedan ki do jamiyaat, aur linkuage university ke mahireen ny aik janib to darjan bhar afraad par tahaqeeq ki hai lekin sath hi lag bhag 13 aalmi mtalaat ka jaiza bhi liya hai .

jab shrka ko chand minton taq dorhaya gaya ya cycle chalanay ko kaha to is ke aik ghantay ke andar 15 be rabt alfaaz ka test liya gaya. is test mein un afraad ki karkardagi behtr rahi jo do minute taq doray they ya phir cycle waghera chalaye thi. is se zahir hota hai ke mamooli waqt ki jismani werzish bhi aik ghantay ke andar andar –apne misbet asraat zahir karti hai .

is tahaqeeq ke baad jamiyaat ke science danon ny kaha hai ke agar aap masroof hain to din mein kayi baar werzish, ya jismani werzish ki ja sakti hai jabkay mukhtasir waqt ke liye chehal qadmi karte hue dimaghi salahiyat ko bhi badhaya ja sakta hai .