Home People shetan sift aurat jis ki pirol par rihayi mutanazia bani

shetan sift aurat jis ki pirol par rihayi mutanazia bani

329
0
shetan sift aurat

shetan sift aurat jis ki pirol par rihayi mutanazia bani

shetan sift aurat jis ki pirol par rihayi mutanazia bani, duniya ki mukhtalif aqwam, qabail aur mukhtalif garohoon mein zameen aur wasail par qabza karne ya kisi tanaza ke sabab khoo raiz tassadum aur houlle naak jangain  bhi ladi gayeen, jin mein ghalba panay aur apni fatah yakeeni bananay ke liye jasoson ki madad li jati thi jo dushman ki kam zoriyan jan-nay aur is ka faida uthany ke liye sazshain rachatay  they. tareekh ke ourak mein hmein kayi jasoson aur khufia ejenton  ka zikar milta hai jinhon ne –apne maqsad ke liye sazishain aur qatal kiye ya apni tanzeem aur group ke maqasid ki takmeel ke liye dehshat aur khauf phelaya .

tareekh mein kayi aurton ka naam bhi is hawalay se mehfooz hai aur inhain duniya ki khatarnaak aur safaaq khawateen kaha jata hai .

Germany ki bregent monhayat  aik aisa hi naam hai jisay shetan sift aurat kaha jata hai. 1949 ko peda honay wali bregent  red army fikshn ki sarkardah rukan thi jo intahi baen baazu ka shiddat pasand group tha jis ne sattar ki dahai mein maghribi Germany mein khauf aur dehshat phailai. is douran mutadid afraad ighwa aur qatal hue jab ke is arsay mein takhribi karwaiyon aur bomb dhmakon main bhi bohat nuqsaan hwa .

1977 mein yeh silsila urooj par pahonch gaya. dehshat aur khauf ki is lehar ko’ german khizaa’ ke naam se yaad kya jata hai .

yeh group maghribi Germany ki sarmaya daarana establishment ke khilaaf muzahmat kar raha tha jisay high jikng aur ighwa aur qatal mein mulawis bataya jata hai .

yeh safaaq aur qaatil aurat jis ka naam bregent  tha, is group ki ahem aur nihayat mutharrak rukan thi jisay 1982 mein giraftari ke baad paanch martaba Umar qaid ki saza sunai gayi. is par no afraad ki halakat mein mulawis honay ilzaam saabit honay par izafi 15 saal qaid ki saza bhi sunai gayi .

bregent  par aik banker ke qatal ka ilzaam bhi tha jisay qatal se pehlay phool paish kiye aur phir qareeb se goli maar di gayi jis ke nateejay mein woh apni jaan se gaya. is ke ilawa Germany ki is safaaq aurat naay aik Amrici commander aur is ki ahliya ko rocket launcher se ura dainay ki koshish bhi ki thi .

bregent monhayat ko 2007 mein pirol par raha kar diya gaya to is faislay par Germany mein aik behas chhar gayi. yeh faisla Germany ke siyasi aur qanooni halqon hi mein zair-e behas aur mutanazia nahin bana balkay is khatoon ya is giroh ki karwaiyon ke nateejay mein marnay walay afraad ke ehley khanah bhi is se mutasir hue .