Home Uncategorized sardi ki shaamon mein garma garam doodh jalebi ki soghaat ke be

sardi ki shaamon mein garma garam doodh jalebi ki soghaat ke be

756
0
sardi ki shaamon

sardi ki shaamon mein garma garam doodh jalebi ki soghaat ke be shumaar fawaid

sardi ki shaamon mein garma garam doodh jalebi ki soghaat ke be shumaar fawaid, sardi ke mausam mein garma garam doodh aur jalebi mil jaye to kya hi kehnay, doodh jalebi jism o jaan ko tawanai bakhshti hai aur chehray ki rangat nkharne ke sardi ki shaamon mein garma garam doodh jalebi ki soghaat ke be shumaar fawaidliye bhi azmooda hai .

sardian shuru hotay hi garam garam doodh ka istemaal barh jata hai, garam doodh mein agar jalebi daali li jaye to woh Marghoob ghiza ban jati hai. log sirf zaiqay ke liye hi nahi balkay tawanai bahaal karne aur jism ko garam rakhnay ke liye jalebi mila doodh peenay ke liye dukanon ka rukh karte hain .

sardi ki aamad ke sath hi doodh aur jalebi wali dukanon par shehrion ka rush barh jata hai, sardi ki shiddat kam karne ke liye garma garam doodh mein jalebi aur malai daal kar is mazedar pakwaan se lutaf andoz hotay hain .

shehrion ka kehna hai ke yun to jalebi sara saal shehrion ko lubhati hai lekin sakht sardi mein garma garam doodh aur jalebi ka apna hi maza hai is se jism mein tawanai aati hai aur sardi ka ehsas bhi kam hota hai .

sardi ki shaam mein doodh jalebi ka maza hi kuch aur hai, doodh jalebi ki dukanain raat gaye tak khuli rehti hain, Punjab mein mausam ne angrai li to doodh jalebi ki dukanain bhi abad ho gayeen. puranay daur ke buzurag hakeem doodh jalebi ko aankhon ke gird halqay khatam karne aur chehray ki rangat nkharne ke liye tajweez karte thay .

haftay mein aik baar bhi agar aadha klov doodh mein aik pao ya aadha pao jalebian khalee jayen to zindagi ka rang hi badal jata hai, kamardard , thakawat, pareshani, aasabi tanao, nazla, zukam, bukhaar, hadion, joron ka dard, sar dar, pathon ka dard khachao  jaisi bimarion ki himmat nahi hoti ke woh aap ke qareeb bhi ayen .