Home Fashion sarah Khan ki instagram post madahon ke liye kayi sawal chore gayi

sarah Khan ki instagram post madahon ke liye kayi sawal chore gayi

281
0
sarah Khan ki instagram

sarah Khan ki instagram post madahon ke liye kayi sawal chore gayi

sarah Khan ki instagram post madahon ke liye kayi sawal chore gayi, Pakistani drama industry ki Maroof adakara sarah Khan ny samaji raabtey ki Website instagram par tasweer share ki jis par madah heran reh gaye .

tafseelaat ke mutabiq Pakistani drama industry ki Maroof adakara sarah Khan social media par kaafi mutharrak nazar aati hain, sarah Khan khobsorat photo shot aur kaam se mutaliq taswerain madahon se share karti rehti hain .

sarah Khan ki janib se share ki gayi un tasaveer ko madahon ki janib se bhi khoob saraha jata hai .

adakara ny samaji raabtey ki Website instagram par tasweer share ki jis mein woh angothi pahani hui hain ,

adakara nay caption likha ke’ mein nay kaha haan.’ taham sarah Khan nay yeh nahi bataya ke unhon nay mangni karli hai ya nahi .

madahon ki janib se sarah Khan ko mubarak baad dainay ka silsila jari hai .

doosri janib haal hi mein adakara sarah Khan ke photo, video share application instagram par 5 laakh followers hogaye hain .

wazeh rahay ke instagram par sab se ziyada falo ki jaane wali Pakistani Maroof adakara Aiman Khan hain, Aiman Khan nay Mahera Khan ko bhi followers ki daud mein peechay chore diya tha .

adakara Aiman Khan 6. 7 million followers ke sath sab se agay hain, dosray number par 6. 3 million followers ke sath Mahera Khan , teesray number par adakara aiza Khan hain jin ke followers ki tadaad 6 million yani 60 laakh hogayi hai .

adakara Minal Khan 5?. 6 million followers ke sath chouthay number par hain jabkay sarah Khan 5? million followers ke sath panchwin number par aagai hain .