Home Gadgets samandari farsh par tehqeeq karne wali khud car kashti tayyar

samandari farsh par tehqeeq karne wali khud car kashti tayyar

469
0
samandari farsh par

samandari farsh par tehqeeq karne wali khud car kashti tayyar

samandari farsh par tehqeeq karne wali khud car kashti tayyar, Amrici company ne drone kashti tayyar ki hai jo shamsi tawanai se khudkaar andaaz mein agay barhatay hue samandari farsh ka naqsha banaye gi aur samandari mahol ka qeemti data bhi jama kere gi .

shehar alameda mein waqay sale drone company is se qabal kayi model bnachki hai lekin yeh sab se bara aur jadeed model hai jis ki lambai 72 foot hai. 2018 mein is ka pehla model sirf 23 foot taweel tha. kayi idaron ke taawun ke baad sale drone ko mazeed behtar banaya gaya hai. bunyadi tor par yeh hwa ki qowat se hi agay barhti hai lekin is par lagey tamam barqi alaat aur rehnuma nizaam e shamsi tawanai se hi bijli banata hai. is par duniya ke jadeed tareen samandari, behri aur mosmyati alaat o sensor bhi lagey hue hain .

usay control kya ja sakta hai aur khudkaar andaaz mein bhi chal sakti hai lekin poooray aik saal ke mission par kaam kar sakti hai. pani mein hayati mawaad ( biomass) aur samandar mein ghuli carbon ki pemaiesh is ke awleen maqasid mein shaamil hain .

is ka teesra hadaf samandari geherai mein farsh ki naqsha kashi hai kyunkay ab tak hum sirf 20 feesad samandari farsh ko hi dekh sakay hain. haliya barson mein samandari farsh mein mahireen ki dilchaspi mein izafah hwa hai. sale Drone mein nasb jadeed tareen sunaar samandar teh ko munazzam andaaz mein note karen ge. yahan tak ke sunaar 7000 meter geherai tak kaam karta hai aur behtar andaaz mein kaam karta hai jisay hum samandari surway bhi keh satke hain .

samandari farsh par tehqeeq karne wali khud car kashti tayyar, aik aur ahem baat yeh hai ke kashti mein mojood DNAe bhampnay walay alaat pani se DNAe akhaz karkay metajino mix andaaz mein kaam karen ge aur samandari hayaat aur poudoun ke baray mein hamari maloomat mein izafah karen ge .

is se qabal sale drone kashtiyan majmoi tor par mukhtalif samndron mein 1000 din guzar chuki hain .