Home Lifestyle Fitness sabun aur sanitizer se khushk hojane walay hathon ka kaisay khayal rakha

sabun aur sanitizer se khushk hojane walay hathon ka kaisay khayal rakha

367
0
sabun aur sanitizer se

sabun aur sanitizer se khushk hojane walay hathon ka kaisay khayaal rakha jaye ?

sabun aur sanitizer se khushk hojane walay hathon ka kaisay khayaal rakha jaye, corona virus se bachney ke liye baar baar hathon ko dhona aur sanitizer ke zariye inhen jaraseem se pak rakhna zurori hai, taham yeh aadat aik aur maslay ko janam day rahi hai .

baar baar hathon ko dhoney ki wajah se aksar afraad hathon ki jald khushk honay se nihayat pareshan hain aur agar is ka khayaal nah rakha jaye to yeh kisi barri takleef ka sabab bhi ban sakta hai .

mahireen ke mutabiq sabun aur sanitizer ka is qader istemaal hamari jald ki qudrati chiknahat ko khatam kar sakta hai lehaza hamein –apne hathon ko moistrizer karne ki pehlay se ziyada zaroorat hai .

zaroori nahi ke har baar sabun ya sanitizer ke istemaal ke baad moistrizer istemaal kya jaye taham din mein kayi baar hathon ko mostrizer kya jana zaroori hai .

aisay afraad jin ki jald normal hai inhen aam hand kareem ya lotion istemaal karlena chahiye taham agar kisi ki jald qudrati tor par khushk ya hassas hai to hassas jald ki paishgi dekh bhaal ke tehat vaseline istemaal karen .

doctors ka kehna hai ke is zimn mein sabun aur sanitizer ki khususiyaat ko bhi mad e nazar rakhen. do terhan ke sabun ko istemaal mein layein .

aik kam keemiyai ajza wala jo jald ko kam khushk karta hai, har thori der baad haath dhotay hue usay istemaal karen .

dosra ziyada keemiyai ajza wala, yeh jald se qudrati chiknahat ko khatam kar ke usay khushk kardaita hai lehaza is sabun ka istemaal kam se kam karen. yeh sabun is waqt istemaal karen jab bahar se ayen ya kisi aaloda shai ko chhoyin. ilawa azeen usay din mein 2 se 3 baar se ziyada istemaal nah karen .

isi terhan sanitizer  bhi yahi khususiyaat rakhtay hain, alchohal wala sanitizer jald ko khushk kardaita hai aur baaz auqaat allergy ka sabab bhi ban sakta hai lehaza is ka istemaal kam karen, baghair alchohal wala sanitizer jald ko nisbatan kam khushk karta hai .

mahireen ka kehna hai ke hathon ke khushk honay ki wajah se sabun ya sanitizer ka istemaal tark nahi kiya ja sakta lehaza inhen baqaidagi se istemaal karen, is ke sath sath jald ko num rakhnay wali products jaisay creams aur deegar moistzer ka istemaal bhi barha den .ilawa azeen jald nkharne walay gharelo totkay apnatay hue hathon ko nazar andaaz nah karen aur chehray ki terhan hi un ka khayaal rakhen .