saal 2024 mein America ke bajaye chain duniya ki sab se barri maeeshat ban kar ubhray ga
saal 2024 mein America ke bajaye chain duniya ki sab se barri maeeshat ban kar ubhray ga, aalmi bank aur international manitri fund ( IMF ) ke adaad o shumaar mein kaha gaya hai ke saal 2024 mein chain America ko peechay chortay hue duniya ki sab se barri maeeshat ban jaye ga .
report ke mutabiq 1990 ke baad se hi cheen ki muashi sharah numoo musalsal barh rahi hai, Bharat aur Indonesia haal hi mein 10 barri mayshton mein shaamil hue hain .
adaad o shumaar ke mutabiq 2024 mein JDP ke hajam ke lehaaz se chaar asiayi mumalik Europe ko peechay chore den ge jabkay chain pehlay aur America dosray number ho ga. imkaan hai ke 2024 mein Bharat teesray jabkay Indonesia panchwin number par ho ga .
ghair mulki idaray ke mutabiq Japan chouthay jabkay roos chhatay number par hoga, Germany satwen, brazil aathween win, Bartania no win aur France 10 win number par ho ga .
wazeh rahay ke America aur cheen ke darmain talkhiyan barh rahi hain, chain aur America ke mabain talkhi mein mazeed izafah is waqt hwa, jab Amrici saddar Donald trump nay Amrici riyasat huston aur Texas mein cheen n ke sifarat khaanoon ko band karne ka hukum jari kar diya .
America mein cheeni sifarat khaanoon ke band kiye jany se mutaliq White House mein press conference ke douran sawal ke jawab mein trmp ny kaha ke jahan taq fazil sifarat khaanoon ko band karne ki baat hai yeh hamesha se mumkin hai .
haliya dinon Bharat aur chain ke darmain bhi sakht kasheedgi payi jarahi hai, aik aisay waqt jab chain maeeshat mein taraqqi karkay duniya ke tamam mumalik ko pechay chore day ga aur duniya ke mukhtalif mumalik chain ki iqtisadiat aur maeeshat par munhasir hon ge .
aisi soorat e haal mein Bharat ka apni parosi chain se latalqi mein izafah karna kis simt le jaye ga , ya anay wala wqt btaye ga.