Rahul gandhi Bharti wazeer e azam moodi par baras parre
Rahul gandhi Bharti wazeer e azam moodi par baras parre, congress rehnuma Rahul gandhi naay Bhartii wazeer e azam nerinder moodi par aik baar phir tanqeed ka nishana bana dala .
ghair mulki idaray ki report ke mutabiq congress rehnuma Rahul gandhi naay samaji raabtey ki Website Twitter par moodi par tanqeed karte hue kaha ke chain naay hamari zameen le li, Bharat apna ilaqa wapas lainay ke liye mazakraat kar raha hai .
unhon naay kaha ke nerinder moodi khullam khula chain ke daaway ki himayat mein bayan day rahay hain, moodi Bharat aur hamari fouj ki himayat ki bajaye kyun chain ki himayat kar rahay hain ?
is waqeye ke baad barri barri bate karne wali moodi sarkar ko to jaisay saanp sungh gaya hai .
is hawalay se Bharti wazeer e azam nerinder moodi ka rasmi bayan aaya tha jis mein un ka kehna tha ke Bharat aman chahta hai lekin uksanay par jawab dainay ki ahliat bhi rakhta hai .
congress ke rehnuma Rahul gandhi naay twitter par –apne bayan mein Bharti wazeer e azam ko surrender moodi keh diya tha, un ka kehna tha ke nerinder moodi asal mein surrender moodi hain .