pyaaz ka chilka baghair aanso-on ke sirf 1 second mein utaarnay ka tareeqa, video dekhen
pyaaz ka chilka baghair aanso-on ke sirf 1 second mein utaarnay ka tareeqa, video dekhen,pyaaz ka chilka utaartay waqt ansoo aana mamooli baat hai Albata jab tadaad mein ziyada ho to yeh chhota sa kaam bhi bohat kathin hojata hai .
aam tor par aik pyaz ka chilka utaarnay mein do se teen minute lagtay hain agar koi maahir bawarchi utaarnay ya katnay khara ho to woh itnay hi waqt mein pyaz ke chhote chhote tukre bhi kardaita hai .
internet par 1 shakhs ne pyaz ka chilka utaarnay ka aaasaaan tareeqa bta kar bilkhushoos khawateen ki barri mushkil daur kar di .
james rimbo ne aik second mein baghair aanso-on ke pyaz ka chilka utaarnay ke tareeqay ki video share ki .
unn ka yeh tareeqa sarfeen ko bohat ziyada pasand aaya isi wajah se video viral hogayi .
pyaz ke chilkon ki chaay ke ahem tibbi fawaid
video mein dekha ja sakta hai ke nojawan ney pyaz ko chilkay sameit darmain se thora sa kaata aur phir is par zor se mukka mara jis ke baad chilka khud hi alehda hwa aur unhon ney aasani se usay utaar diya .
is kaam mein james ko sirf aik second ka waqt laga. unhon ney video share karte hue likha ke ab aap bhi baghair roye pyaaz ka chilka utaar satke hain .