Home Public Interest polio se mazoor honay wali ba himmat Taliba aur musavira shazia batol

polio se mazoor honay wali ba himmat Taliba aur musavira shazia batol

312
0
polio se mazoor honay

polio se mazoor honay wali ba himmat Taliba aur musavira shazia batol

polio se mazoor honay wali ba himmat Taliba aur musavira shazia batol, 2 boond polio vaccine nah milnay ki wajah se queta se talluq rakhnay wali shazia bataul zindagi bhar ke liye mazoori ka shikaar hogayi lekin is naay himmat nah haari aur agay barhti gayi .

tafseelaat ke mutabiq polio jaisay mozi marz naay hazaron nahi balkay lakhoon zindagion ko mazoori ke andhay kunvey mein dhkil diya hai un hi mein queta se talluq rakhnay wali aik larki shazia bataul bhi shaamil hain .

bachpan mein do boond polio vaccine nah milnay ki wajah se dono peeron se mazoor honay wali is larki naay himmat ka daman haath se chootnay nahi diya ,

school, college, university taq is mazoori ke sabab muashray ka narvaan sulooq barri deedaa dileri se bardasht kya .

musavira shazia bataul ny mazoor afraad ke masail ko tasaveer ke zariye ujagar kiya hai, unhon ny khush numa rangon ko canvas par is terhan utaara ke apni jaybou ke sath sath logon ko polio vaccine ki ahmiyat ka andaza bhi karwaya .

atiyah akram ki report ke mutabiq mukhtalif shoba haae zindagi mein numaya karkardagi par tamgha imtiaz haasil karne wali shazia bataul ka pegham hai ke polio vaccine hi polio ke khatmay ka wahid zareya hai

shazia ke mutabiq hamari koshish hai ke logon ko bataya jaye ke muashray mein mazoor afraad bhi tavajja ke mustahiq hain aur un ke liye sirf elanaat nahi balkay amli iqdamaat kiye jaanay chahiye .

shazia bataul naay tamam walidain se is baat ka mutalba kiya hai ke woh –apne bachon ko insidaad polio muhim ke douran do boond polio vaccine zaroor pilain aur Umar bhar ki mazoori se bachayen .