Home Photos pencil ki noke par bani tasaveer : dekhnay walay dang reh gaye

pencil ki noke par bani tasaveer : dekhnay walay dang reh gaye

390
0
pencil ki noke

pencil ki noke par bani tasaveer : dekhnay walay dang reh gaye

pencil ki noke par bani tasaveer : dekhnay walay dang reh gaye, misar ke aik musawir ne pencil ki noke par –apne hunar se tareekhi karnaama injaam day kar duniya ko herat zada kardiya, yeh apni noiyat ki pehli numayesh thi .

misar ke soobah albaheera ke 28 sala musawir ibrahim bilal ne pencil par misar aur islami qadeem tareekhi yadgarin tarashi hain, jinhein islami art museum mein rakha jaye ga .

qahira ke islami art museum 117 ki win saalgirah ke mauqa art museum ki numayesh jari hai jo 13 January tak jari rahay gi. is numayesh mein yeh fun paaray rakhay gaye hain. yeh misar aur mashriq wasti mein apni noiyat ki pehli numayesh hai .

is hawalay se ibrahim bilal ne media ko bataya ke unhon ne is fun ko khud seekhnay ki koshish shuru ki, mera koi baqaida ustaad nahi tha, mein ne taraashney ke mukhtalif tajarbay kiye, mujhe pislon par tarashtain hue teen saal ka arsa hochuka hai .

unhon ne kaha ke mujhe instagram par aik fankar ka yeh design pasand aaya to mein ne is par ghhor shuru kardiya, mein is ki diqat nazri aur design par heran bhi tha. is liye mein ne is jaisa taraashney ki mashq shuru kar di aur 20 baar se zayed tajurbah ke baad is jaisa fun Parah taraashney mein kamyaab hogaya .

ibrahim ne mazeed kaha ke mein ne Misri nawadiraat ko farogh dainay ke liye tareekhi nawadiraat ke chhootey chhootey tukre karkay is fun ko istemaal karne ki koshish ki, yeh pencil ki teen mili letter choraai se tajawaz nahi karta hai .

museum of islamic art ke qiyam 117 ki win saalgirah ke douran mein ne pislon ke un fun paaron ke 20 numaya majmoay paish kiye jo misar aur mashriq wasti mein is noiyat ki pehli numayesh hai .

ibrahim ne mazeed kaha ke is qisam ki mujasma saazi ke liye mazboot asaab, sabr aur kaam ka malka haasil honay ki soorat mein kamyabi millti hai, is wajah se mawaad ki durustagi aur is par qaboo panay mein dushwari ka saamna karna parta hai .

pencil ki noke par bani tasaveer : dekhnay walay dang reh gaye, ibrahim ke mutabiq ost kaam mein lag bhag 20 ghantay lagtay hain, malka nefar teti aur to tnkhamo ke mujasmay un mushkil mujasmon mein shaamil hain jo mein ne tarashe hain .