Home Lifestyle Culture parda qaid hai ?

parda qaid hai ?

497
0
parda qaid hai

parda qaid hai ?

parda qaid hai, libral / secolars ki taraf se aurat ke parda ki mukhalfat mein mukhtalif battay parhnay suneney ko mlitay rehtay hain, kayi jagah yeh parhnay ko mila ke molvion ny aurton ko qaid mein rakha sun-hwa hai unko kisi qisam ki azadi nahi. .. . un hazraat se yeh poochna chahiye ke qaid kehte kis ko hain. .. .. .. .? ?? ?? hum batatay hain qaid habs khilaaf taba ( tabiyat / chahat ke khilaaf qaid ) ko kehte hain aur jo habs khilaaf taba nah ho is ko qaid har gaz nah kahin ge. .. maslan bath room mein aadmi apni marzi se parda kar ke baithta he, agar har habs / parda qaid hai to usay bhi kehna chahiye

ke aaj hum bhi itni der qaid mein rahay. .. is ko koi qaid nahi kehta kyunkay habs tabee hai. haan agar baath room mein kisi ko blazrort band kar diya jaye aur bahar se tala laga kar aik pehra daar khara kar diya jaye aur is se keh diya jaye ke khabardarv ya admi aadmi yahan se nah niklny paye to is soorat mein be shak yeh habs khilaaf taba ho gaavr is ko zaroor qaid kahin ge aur is soorat mein band karne vle par habs beja ka muqadma qaim ho sakta hai. . .

pas saabit hwa ke har habs ko qaid nahi balkay habs khilaaf taba ko qaid kehte hain. .
aitraaz karne walon ko pehlay is ki tahaqeeq karne ki zaroorat hai ke musalman aurtain jo parday mein rehti hain. woh un ki tabiyat ke mawafiq hai ya khilaaf? habs taba hai ya khilaaf taba? is ke baad unko aisa kehnay ka haq hai .
sab jantay hain ke parda musalman aurton ke liye khilaaf taba nahi hai, kyunkay musalman aurton ke liye haya amar tabee hai ,

lehaza parda habs taba sun-hwa aur is ko qaid kehna ghalat hai, balkay agar un ko be parda rehne par majaboor kya jaye, unkay hijaab par pabandi lagadi jaye jaisay azaadi ke champion –apne mumalik mein lgarhe hain’ yeh khilaaf taba baat hogi. qaid is ko kehna chahiye. . hamaray un taraqqi pasandon ke liye aisa kehna nuqsaan da hai. is habs / pabandi ke khilaaf do jumlay bolnay se bhi un roshan khayalon ki zabanon par chhalay nikal atay hain. .