Home Technology online delivery, samaan ke liye shehri ko 8 saal intzaar karna para

online delivery, samaan ke liye shehri ko 8 saal intzaar karna para

355
0
online delivery

online delivery, samaan ke liye shehri ko 8 saal intzaar karna para

online delivery, samaan ke liye shehri ko 8 saal intzaar karna para Canadian shehri ko barson qabal order kya gaya samaan rawan mah mousool hogaya, samaan par 2012 ki tareekh darj thi, shehri aath saal baad order mousool honay par dang reh gaya .

report ke mutabiq yeh herat angaiz waqea Canadian shehar Toronto se talluq rakhnay walay shehri ke sath paish aaya jisay aath saal pehlay order kya gaya samaan 6 May ko wusool hwa .

shehri ko veil dot si ae ( online idaara ) ki janib se parcel mousool hwa to is ney parcel lainay se yeh kehte hue inkaar kardiya ke is ney koi order kya hi nahi

taham kuch der baad usay yaad aaya ke mazkoorah idaray ko 2012 mein aik order diya .

samaan mein aik kareem aur hairstyle masnoaat mojood theen aur anways bhi mojood thi jis par aath saal pehlay tareekh darj thi .

Canadian shehri aylit ny media ko bataya ke ab woh is kareem ko istemaal nahi kar saktay kyunkay woh itnay baras mein kharab hochuki hai aur is ka rang bhi zard hochuka hai .

canada post ke hakkaam ny shehri ka parcel itni takheer se pounchanay ki tehqiqaat shuru kar di hain, tarjuman canada post ka kehna tha ke aaj taq aisa anokha waqea report nahi kya isi liye ubhi sirf sy mutaliq andazay e lgatw ja sktay..