neend ki kami bhook mein izafay ka sabab, smart phone ke be tahasha istemaal ne logon se raton ki neend chean li hai aur inhen be khwabi ka mareez bana diya hai, aik raat ki neend poori nah honay se insaan ki bhook mein 45 feesad izafah ho sakta hai .
mahireen ka kehna hai ke har baaligh insaan ke liye rozana 7 se 8 ghantay ki nend karna zaroori hai, is se bhook aur pyaas ko control karne ke harmons ka nizaam bhi theek rehta hai .
aik tehqeeq ke mutabiq aik raat ki nend poori nah honay se aglay din aap ko apni bhook mein 45 feesad izafah mehsoos ho sakta hai .
mahireen ke mutabiq nend poori nah honay se sab se pehla assar aap ki jismani tawanai aur dimaghi karkardagi par parta hai. nend ki kami se aap sara din thakan aur susti ka shikaar rehtay hain aur –apne kaam theek terhan se injaam nahi day satke .
nend ki kami bhook mein izafay ka sabab, nend ki kami kisi insaan ko badmizaaj aur chirchira bhi bana sakti hai. taweel arsay tak nend ki kami ka shikaar rehne walay afraad motapay, depration, diabities, zehni dabao aur amraaz qalb ka shikaar ho jatay hain .
nend ki kami blood pressure mein izafah karti hai aur aap ko high blood pressure ka mareez bana sakti hai jabkay neend ki kami se jism mein cholesterol ki satah mein bhi izafah ho sakta hai .