nazla, khansi se nijaat ke liye qehwa aur majoon ghar mein bananay ka tareeqa
nazla, khansi se nijaat ke liye qehwa aur majoon ghar mein bananay ka tareeqa, sardiyoon ka aaghaz hotay hi har dosray shakhs ko nazlay, zukam aur khansi ki shikayat hoti hai .
aam tor par sardiyoon mein nazla, khansi jaisi bemariyan barh jati hain magar Karona ki wajah se ab log tazabzub ka shikaar bhi ho rahay hain .
programme good morning Pakistan mein jari bootion ki maahir Salma asim ne nazla aur khansi se nijaat haasil karne ke liye ghar mein hi mufeed qehwa bananay ka tareeqa bataya .
Salma asim ne bataya is qehwa ko piinaa aur esteem zaroor leni hai jis se jama hwa nazla aur khansi khatam hogi .
unhon ne bataya ke agar aik naak band hojaye aur sir mein dard ya cupnatyon mein dukhan ho to yeh qehwa uss ke liye bhi bohat ziyada mufeed hai .
ajza
10 longein
badyaan ka phool
do daar cheeni aik aik inch ka tukda
do choti alaichi
tareeqa
fry paan ko cholhe par rakhen aur tamam ajza ko is mein daal den aur usay thori paknay ke liye chore den, jab is mein achi terhan se ubaal aajay to usay utaar len aur phir hasb zaroorat istemaal karen .
Salma asim ne bataya ke qehwa ban’nay ke douran uthnay wali esteem ko agar liya jaye to is se jama hwa nazla khil jata hai .
majoon bananay ka tareeqa
ajza
aadha chitank badam
aik chamcha kaali mirch
tareeqa
dono ko achi terhan se pees len aur phir is mein shehad shaamil karen aur phir usay nashtay ya raat ke khanay mein istemaal karen .
note : diabities samait kisi bhi sangeen bemari mein mubtala afraad –apne tabeb se mashwaray ke baad desi qehwa ka istemaal karen .