Home Gadgets Nasa na pur israr khalaye awazon ki playlist jaari ker di

Nasa na pur israr khalaye awazon ki playlist jaari ker di

283
0
Nasa na pur israr

Nasa na pur israr khalaye awazon ki playlist jaari ker di

Nasa na pur israr khalaye awazon ki playlist jaari ker di, Amrici khalayi tehqeeqi idaray’ ‘ Nasa ‘ ‘ ne –apne khalayi jahazoo se record ki hui mukhtalif khalayi awazon ka intikhab aik pallay list ki shakal mein sound cloud par jari kardiya hai .

un mein mushtari ke dabeez baadalon aur mareekhi zalzalon ki haqeeqi awazon ke ilawa Chandra x-ray khalayi doorbeen, wiger awwal khalayi jahaaz aur planic  sayarchay waghera ke record kiye hue radio signals ko qabil e samaat awazon mein tabdeel kya gaya hai .

yeh aawazian agarchay khaufzadah karne wali to nahi lekin ajeeb o ghareeb zaroor hain jinhein sun kar yun lagta hai jaisay koi cheez toot rahi ho, kharkhara rahi ho ya phir koi khalayi makhlooq seetiyan baja rahi ho .

wazeh rahay ke aawaz ko safar karne ke liye maadi wastay ki zaroorat hoti hai, yahi wajah hai ke aawaz ki laharen khalaa mein safar nahi krsktin. Albata barqi maqnateesi laharen ( electro mignitk waves ) barri sahoolat se, teen laakh kilometer fi second ki raftaar se, safar kar sakti hain .