Nami graami lemoo, har zabaan main Nami !
Nami graami lemoo, har zabaan main Nami,lemoo ke deegar zabanon mein naam bohat mumasil hain .
urdu aur farsi mein lemoo, sansikrat mein numbo, hindi mein neebu aur numbo, bangla mein kagaji neebu ( yani kaghazi jo lemoo hi ki aik qisam hai ), marathi mein kagaddi tambu ( yani kaghazi lemoo ), gujrate mein tambu, punjabi mein nembo ya nabion, hindko mein numbo, gojri mein namo, bara hui mein lembo, aasami mein nemo tenga, knrh mein numbay, kongi mein lumban aur angrezi mein lemon kehte hain .
yahan herat angaiz inkishaaf yeh bhi dekhte chalen ke asia, Africa , Australia aur Europe ki aksar zabanon mein lemoo ko mumasil naamon se puraka jata hai jin se, zehan, khud-bakhud, urdu ki taraf rujoo karta hai .