namak say musawari krnay wala munfrid afghan artist

    246
    0
    namak say musawari

    namak say musawari krnay wala munfrid afghan artist

    namak say musawari krnay wala munfrid afghan artist , agar aap internet par search karen to’ ‘ Basheer sultaani’ ‘ ke naam se aap ko darjanon tasaveer mil jayen gi, lekin yeh saari ki saari taswerain namak se banai gayi hain aur yahi Afghan nazaad Canadian shehri Basheer sultaani ka hunar bhi hai .

    –apne kaam ke baaray mein Basheer sultaani ka kehna hai ke bunyadi tor par yeh’ ‘ send art’ ‘ ( rait se taswerain bananay ) jaisa hi hai lekin namak ke bareek bareek zarron ko tarteeb day kar tasweer ki shakal dena, rait ke muqablay mein kahin ziyada mushkil hai .

    wajah yeh hai ke pissa hwa namak aik hamwar satah par bohat mushkil se tharta hai aur is ke bikharne ka imkaan bohat ziyada hota hai .

    tasweer mein qalam jaisa ta-assur peda karne ke liye woh mukhtalif barikion walay namak ke sufoof istemaal karte hain .

    aaj namak se musawari ka maidan duniya bhar mein’ ‘ salt art’ ‘ ke naam se mashhoor hai jabkay Basheer sultaani is maidan ke das saal puranay khiladion mein shaamil hain .

    Basheer sultaani ab baqaida social media par bhi aagaye hain aur Facebook aur instagram ke ilawa youtube par bhi aik channel chala rahay hain jahan salt art ki mukhtasir videos bhi post ki jati hain .

    –apne kaam ko aik naya andaaz dainay ke liye ab woh rangeen namak bhi istemaal karne lagey hain lekin woh kehte hain ke abhi is mein mazeed mahaarat baham pahunchana zurori hai taakay fun paaron mein khoubsurti layi jasakay .