Home Point of View Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan

Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan

1170
0
Multan jalsa aur haqumat

Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan

Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan , oppostion jamaten jalson ke mojooda tasalsul ko barqarar rakhnay ke liye Multan mein jalsa karne par bazid hain. unhon ne guzashta chand mah ke douran malik ke chand shehron mein barray jalsay kiye aur awam ki barri tadaad un jalson mein umadd aayi, jis se oppostion rehnumao ke hauslay buland hogaye aur unhon ne is silsilay ko jari rakhnay ka faisla karliya hai. hukoomat ki taraf se har jalsay ko roknay ki koshish ki jati rahi, kabhi koi bahana to kabhi koi. wazeer e azam samait tamam wuzra yeh bhi kehte hain ke un ke jalson balkay jalsiyon  se kuch nahi honay wala aur sath hi sath un jalson se roknay ki bhi hatta alosa koshish karte hain .

yeh to oppostion rehnuma hain jo ab kisi had tak balkay jalson ki had tak datay huay hain, hukoomat ki taraf se tamam tar mukhalfat aur rukawaton ke bawajood jalsay kiye jarahay hain. oppostion ke jalson ki tashheer wifaqi hukoomat khud karti hai aur wifaqi wuzra bilajawaz bayan baazi ke zariye awam ko batatay hain ke oppostion jamaten falan jagah aik acha jalsa karne lagi hain. zahir hai ke jab itnay barray pemanay par un ke khilaaf bayan baazi hogi to awam mein tajassus to peda hoga ke aakhir koi baat to hai jo wuzra tamam tar masail balkay –apne –apne kamon ko chore kar oppostion ke is jalsay ke khilaaf subah o shaam bayanaat daagh rahay hain .

tadm tehreer Multan mein honay walay jalsay ko roknay ke liye hukoomat apni poori taaqat sirf kar rahi hai lekin oppostion jamaten kisi soorat jalsa multawi karne ke liye tayyar nahi hain. hukoomat ki taraf se Multan mein Qasim baagh stadium ko taaley lgadie gaye aur rakawaten khari kar di gayeen lekin oppostion jamaaton ke kaarkunon ne rakawaten hatakar stadium ke taaley toar daaley. jis ki wajah se police aur kaarkunon ke darmiyan jhagra aur talkh kalami bhi hui. is nakhushgawaar waqeye ki wajah se bohat se rehnumao aur kaarkunon ko girftar bhi kya gaya. oppostion jamaaton ka josh o walwalah barh chuka hai, is qisam ki thrikon ko giraftarion aur dabao ke zariye kabhi bhi dabaya nahi jaska, balkay inhen jitna dabanay ki koshish ki jaye woh mazeed ubharti hain. is qisam ke waqeat se tareekh bhari pari hai lekin hukoomat ko tareekh parhaye kon ?
hukoomat agar is jalsay ko roknay ki koshish nah karti to bohat se logon ko ilm hi nahi hona tha ke koi jalsa bhi hona hai ya hochuka hai. lekin hukoomat ki bilajawaz karwaiyon aur wuzra ki be mauqa bayan baazi ke shoq ne oppostion ki tehreek ko mazeed jaan bakhsh aur yeh tehreek is had tak zor pakar chuki hai ke ab be dharak taaley torrey jarahay hain aur rakawaten hataie jarahi hain .

Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan , hukoomat agar waqai oppostion ki tehreek ko nakaam karna chahti hai to usay chahiye ke woh oppostion jamaaton ko bulaa rokkk toak jalsay karne ki ijazat day aur un ke jalson ke baray mein wazeer e azam aur deegar tamam wuzra kisi qisam ki bayan baazi nah karen, to un jalson ko itni pazeerai haasil nahi hogi jitni ke hukoomat ke un ghair zaroori iqdamaat ki wajah se horahee hai. jalsay ki tareekh tay honay ke sath hi hakoomati arakeen ki bayan baazi ki wajah se jalsay khabron ki zeenat ban jatay hain aur awam ki tawajah un ki taraf markooz hojati hai. jalson mein bhi awam barri tadaad mein shirkat karte hain aur gharon mein baith kar bhi media ke zariye un se bakhabar rehtay hain .

agar hukoomat Multan wala jalsa corona virus ki wajah se rokna chahti hai to mein nahi samjhta ke yeh koi aisi barri wajah hai ke mojooda halaat mein usay juwaz banakar kisi jalsay ko roka jaye. yeh hukoomat ke paas faqat bahana hai, jis ka koi juwaz nahi. mein is liye usay ghair zaroori nahi qarar day raha ke mere nazdeek yeh virus koi khatarnaak cheez nahi hai balkay mein hukoomat ke un iqdamaat ko is liye ghair zaroori samajh raha hon ke malik mein mukammal tor par lock down nahi hai, balkay rozana ki bunyaad par poooray malik mein mukhtalif qisam ke ijitmaat hotay hain, jin mein secron aur basa auqaat hazaron ki tadaad mein bhi log jama hotay hain. un mein shadi bayah ki taqrebaat ke ilawa kayi terhan ke jalsay waghera shaamil hain. agarchay hukoomat ki taraf se shadi halz par kuch pabandiyan aed kar rakhi hain lekin gharon aur khulay maqamat par barri tadaad mein yeh ijitmaat ho rahay hain, agar un sab se corona virus nahi phialta to virus kya sirf isi jalsay se phailay ga ?

Multan jalsa aur haqumat ki gir zrori karwaiyan , phir agar hukoomat yeh moqaf ikhtiyar karti hai ke oppostion ke jalsay barray hotay hain to bhi un ke bayanaat mein tazaad hai. aik taraf to aap inhen jalsi qarar dete hain, doosri taraf kehte hain ke barri tadaad mein logon ke jama honay se virus ke phelnay ka khadsha hai. lehaza hukoomat aik wazeh moqaf  ikhtiyar kere aur poooray malik mein har terhan ke ijitmaat par pabandi aed kere ya phir oppostion ke jalson mein bhi rukawat nah daaley aur woh kahin bhi jalsa karna chahain, inhen ijazat day taakay kisi qisam ka tassadum ka mahol peda nah ho aur malik mein aman ki fiza qaim rahay .