mozay pehan kar sonay ka faida kya hai? jarabay ( mozay ) pehan kar sona chahiye ya nahi, yeh aik aisi behas hai jis par tibbi mahireen kisi hatmi nateejay par nahi pahonch sakay .
kuch logon ka maanna hai ke mozay pehan kar sona sehat ke liye khatarnaak hai aur woh yeh wazahat dete hain ke jab insaan so raha hota hai to uss ke jism se hararat, harmons nikaltay hain, agar mozay pehnay hon to un ka ikhraj nahi hopata jo sehat ke liye nuqsaan da hai .
ab aik dr ne is behas ko khatam karne ke liye aik saboot paish kya aur moza pehan kar sonay ka tibbi faida bhi bayan kya .
dr jais tik talk par hazaron followers rakhnay wali khatoon heen jinhon ne haal hi mein apni aayi d par mozayy pehan kar sonay ke hawalay se video share ki .
is video ko ab tak 17 laakh se zayed sarfeen dekh chuke hain. dr ne is video mein bataya ke mozayy pehan kar sonay se aap ki neend behtar aur pursukoon hoti hai .
apni video mein unn ka kehna tha ke’ hum baat karte hain unn logon ki jo mozayy pehan kar sotay hain, jarabay pehan kar jab bistar par latain to aap ke paon garam hotay hain aur jism ko khoon fraham karne wali ragein thandhi hojati hain’ .
unhon ne bataya ke jab aap ka jism thanda hota hai to dimagh ko yeh pegham pohanchana hai ke ab sonay ka waqt hai, jo log mozay pehan kar bistar par jatay hain woh deegar ke muqablay mein jaldi so jatay hain .