Home Lifestyle Dining moong phali ki allergy : alamaat, ahthyat aur ilaaj

moong phali ki allergy : alamaat, ahthyat aur ilaaj

777
0
moong phali ki allergy

moong phali ki allergy : alamaat, ahthyat aur ilaaj

moong phali ki allergy : alamaat, ahthyat aur ilaaj, moong phali ki allergy nihayat ahthyat ki mutaqazi hoti hai, is ki mamooli si miqdaar bhi khatarnaak rad-e-amal ka baais ban sakti hai aur allergy ka hamla jaan lewa bhi ho sakta hai .

Saudi Website par shaya shuda aik mazmoon ke mutabiq haal hi mein bachon mein mong phali ki allergy ya anafilaxie mein izafah dekhnay mein araha hai, mahireen ke mutabiq baaligh afraad ya bachon mein moong phali se allergy ho to dr se rujoo karna zaroori hai .

is ki hsasit agar halki bhi ho to is ka khatrah mustaqbil mein ziyada ho sakta hai .

alamaat

mong phali khanay ke kuch der baad is ka assar zahir honay lagta hai, is ki mumkina tor par yeh alamaat hosakti hain .

moong phali ke khanay se jald par kharish, surkh pan ya soojan ho jati hai, mun aur gilaay ya un ke aas paas kharish bhi hoti hai. is ke ilawa ishaal, pait mein dard, matli ya qay ka masla bhi ho sakta hai .

mong phali khanay se gilaay mein tangi mehsoos hoti hai, saans mein takleef bhi ho jati hai aur ghabrahat bhi mehsoos hoti hai. is ke khanay se naak ke behnay ke masail bhi hotay hain .

anafilaxie ki alamaat

shadeed allergy ya anafilaxie aik hungami sorat e haal hai, is ki alamaat mein gilaay mein soojan jo saans lena dushwaar kar day, blood pressure mein shadeed kami ( jhatka ), taiz nabz aur chakkar aana ya hosh khatam hona shaamil hain .

wajohaat

mong phali ki allergy is waqt hoti hai jab aap ka mdafati nizaam ghalti se moong phali ke protein ko kisi nuqsaan da cheez ke tor par shanakht karta hai .

mong phali ke sath barah e raast ya bil wasita raabtey mdafati nizaam ko khoon ke dhaaray mein rogsochak chemicals jari karne ka sabab bantay hain, mong phali ke nuqsanaat mukhtalif tareeqon se ho saktay hain .

mong phali ya is mein shaamil khanay ki ashya se barah e raast rabita, kabhi kabhi jald se barah e raast rabita allergic radd amal ko mutharrak karsaktha hai, mong phali ka aatta ya khana pakanay ke douran is ka tail istemaal karte waqt saans lainay ki soorat mein bhi allergic rad-e-amal ho sakta hai .

moong phali ki allergy mein khatray ke awamil mandarja zail hain .

bachon mein khaas tor par nozaida bachon mein khanay ki allergy ziyada payi jati hai. jaisay jaisay aap ki Umar barhti hai, aap ka nizaam haazma behtar hota hai aur aap ke jism mein aisi khaano par radd amal zahir karne ka imkaan kam hota hai jo allergy ka baais bantay hain .

kuch bachay barray hotay hi moong phali ki allergy se chhutkara paate hain taham is ka imkaan bhi mojood hai ke baaligh honay ke baad yeh dobarah hojaye .

agar kisi ko pehlay hi aik khanay se allergy hai to dosray khanay se allergy peda honay ka ziyada khatrah ho sakta hai, isi terhan allergy ki aik aur qisam ka hona, jaisay bukhaar waghera khanay ki allergy peda honay ka khatrah berhata hai .

bachao kaisay kya jaye ?

haal hi mein ki jane wali aik tehqeeq ke mutabiq is baat ki tasdeeq ke mazboot saboot mojood hain ke 4 se 6 mah ki Umar mein khatray se do4 bachon ki khoraak mein mong phali shuru karne se khanay ki allergy peda honay ke khatray mein 80 feesad tak kami waqay hosakti hai .

mong phali ki allergy peda honay ka khatrah un bachon mein hota hai jo halkay se shadeed egzeema , anday ki allergy ya dono ka shikaar hotay hain. –apne bachay ki ghiza mein moong phali shaamil karne se qabal –apne bachay ke dr se tareeqa car par tabadlah khayaal karlen .

mong phali se allergy ka shikaar afraad ko is baat ka khayaal rakhna chahiye ke un ke khaano mein moong phali nah ho, processed shuda khanay ki ashya par hamesha label parheen, is baat ko yakeeni banayen ke un mein moong phali ya un ki koi masnoaat nah ho .