Home Health mirgi ke mareezon ki madadgaar computer “Chip”

mirgi ke mareezon ki madadgaar computer “Chip”

255
0
Mirgi

mirgi aik dimaghi marz hai aur aalmi idaara sahet ke mutabiq duniya bhar mein taqreeban paanch crore afraad is mein mubtala hain .

mirgi ki mukhtalif aqsam hain jin se koi fard earzi aur mustaqil tor par mutasir ho sakta hai. yeh bemari kisi bhi Umar mein zahir hosakti hai. is marz se mutaliq tafseel mein jaaney se pehlay aik scienci tajarbay se mutaliq jaan lijiye .

haal hi mein canada ki Kalgray university se aik umeed afzaa report samnay aayi hai. yeh aik scienci tajarbay se mutaliq hai jis ke mutabiq science daano ki aik team naay aisi computer chِp tayyar ki hai jisay dimagh ke sath nasb karne se mirgi aur deegar dimaghi amraaz ko barri had taq “Sambhala” ja sakta hai .

Pakistanio ke liye yeh baat baais-e musarrat hogi ke is team ki sarbarahi Pakistani nazaad dr Naveed syed kar rahay hain .

science daano ki janib se tajurbah gaah mein chِp ki azmaish ke baad insanon par bhi is ka tajurbah kya jaye ga .

mirgi ke asbaab se mutaliq mahireen ka kehna hai ke yeh dimagh mein barqi inteshaar ke rad-e-amal mein peda honay wala masla hai. science dano ke mutabiq har ensaan ka dimagh barqi ruu ke zariye aik hissay se dosray taq jura reh kar apna feal injaam deta rehta hai aur jab is dimaghi current ka nizaam mutasir hota hai aur is mein waqfay waqfay se bigaar aata hai to aisay fard ko mirgi ke doray parte hain. yeh jhatkay ya doray mukhtalif sooraton ya aqsam ke hotay hain .

aisa mareez hosh o hawaas kho deta hai, aksar un ka jism akarr jata hai, woh chaltay hue aur baithy baithy gir parte hain aur un ka jism jhatkay lainay lagta hai .