mazedar Shahi mutton karahi bananay ki aasaan tarkeeb, chicken karahi aik aam dish hai jisay mukhtalif andaaz mein banaya jata hai, aaj hum aap ko mazedar Shahii mutton karahi bananay ki aasaan tarkeeb bta rahay hain .
ajza
mutton : 1 klo
tail : 200 gram
tamatar : 4 Adad
kaali mirch : daidh chaye ka chamach
namak : hasb zaroorat
badam : 6 Adad
pissa hwa khopra : 2 chaye ke chamach
doodh : aadha cupp
tarkeeb
sab se pehlay mutton ko ubaal len, pani khushk hojaye to usay fry karlen .
is ke baad is mein kaali mirch, adrak lahsun, namak aur timatar daal den .
agar spicy banana hai to 2 se 3 hari mirch daal den .
is ke baad khopra aur badam shaamil karen .
mutton ko sunehra rang dainay ke liye is mein doodh shaamil karen .
mazedar Shahi mutton karahi tayyar hai .