Home Lifestyle Dining mazedar French fries khanay ka woh nuqsaan jo aap nahi jantay

mazedar French fries khanay ka woh nuqsaan jo aap nahi jantay

210
0
mazedar French fries khanay

mazedar French fries khanay ka woh nuqsaan jo aap nahi jantay

mazedar French fries khanay ka woh nuqsaan jo aap nahi jantay, garma garam mazedar French fries chahay ghar ke banay hon ya bahar ke, jab samnay atay hain to be ikhtiyar dil lalchanay lagta hai, lekin yeh French fries aap ko sakht nuqsaan pohanchanay ka sabab bhi ban sakta hai .

mahireen ka kehna hai ke aalo aur aalo se bani hui ashya buland fashaar khoon yani high blood pressure ke khatray mein izafah kar sakti hain. aik tehqeeq ke mutabiq aalo ka istemaal high blood pressure ke khatray mein 11 se 17 feesad izafah karsaktha hai .

Albata crispy chips khanay se yeh khatrah nahi hota kyunkay usay keemiyai amal se guzaar kar is mein mojood nah sirf muzir balkay mufeed ajza ko bhi zaya kardiya jata hai .

mahireen ke mutabiq aalo chunkay taizi se tawanai mein izafah karta hai is liye yeh high blood pressure ka khatrah peda karta hai. sirf yahi nahi balkay blood pressure ki wajah se zehni dabao mein izafah aur khalion ki karkardagi mein kami bhi waqay hosakti hai .

aik aur tehqeeq mein bataya gaya ke woh khawateen jo apni ghiza mein aalo ka ziyada istemaal karti hain un mein hamal ke douran diabities ka khatrah 50% tak barh jata hai .

Albata dalain aur sabzian istemaal karne se is khatray mein 9 se 12 feesad kami hojati hai .