Home Lifestyle Beauty mausam sarma mein jild ko khushki se bachanay ka nihayat

mausam sarma mein jild ko khushki se bachanay ka nihayat

348
0
mausam sarma mein

mausam sarma mein jild ko khushki se bachanay ka nihayat aasaan tareeqa

mausam sarma mein jild ko khushki se bachanay ka nihayat aasaan tareeqa, mausam sarma mein jald ki khushki nihayat aam masla hai jis ke liye mukhtalif totkay aur creams istemaal kiye jatay hain, taham ghar mein mojood mamooli ashya is maslay se nihayat aasani se nijaat dila sakti hain .

morning show good morning Pakistan mein dr Balqis ne sardiyoon mein jald ko khushki se bachanay ke liye nihayat aasaan tareeqa bataya .

dr Balqis ne bataya ke aik Adad anday ki zardi, 1 chamach vaseline aur 1 chamach sarson ka tail mila len aur usay hathon aur chehray par lagayen .

unhon ne bataya ke is amezay se anday ki bo bilkul nahi aaye gi kyunkay sarson ke tail ki bo anday ki bo ko khatam kardey gi. usay serum ki lagaya jaye yani laga kar massage ki terhan se jazb karliya jaye .

dr Balqis ka kehna tha ke yeh jild ke khuliyaat mein honay wali toot phoot ke liye behtareen hai aur khalion ki murammat karta hai jis se jald tar o taaza aur num rehti hai .

yeh amezah aankhon ke gird bhi lagaya ja sakta hai jabkay hathon peeron aur poooray jism par lagaya ja sakta hai, usay raat mein laga kar subah mamool ke mutabiq ghusal karliya jaye to yeh amezah behtareen nataij day ga .