lock down ke asraat samnay aana shuru hogaye, online taxi service kareem ny secron mulazmeen farigh kar diye .
tafseelaat ke mutabiq krwna virus ke baais lagaye jaane walay lock down ke asraat mulk mein berozgari barhti jarahi hai, online taxi service kareem ny bhi –apne 31 feesad mulazmeen ko farigh kardiya .
online taxi service ke CEO mudassar shikha ny kaha ke 536 mulazmeen ko nikalna asan nah tha, hum ny faisla har mumkin hadd taq mokhar kya magar ab aur nahi kar saktay .
mudassar shikha ny kaha ke kareem ki chalne wali bas tansport mobile app ko bhi band kardiya gaya hai .
jab taq lock down hai, tansport nahi kholi jaye gi, Sindh hukoomat ka elaan
unhon ny kaha ke hamein apni team mein shaamil har fard ka khayaal hai aur yahi wajah hai ke hum pehlay bhi yeh elaan mokhar kar chukay they, yeh iqdaam company ke barray maqasid par poora utrney ke liye uthaya gaya hai .
mudassar shikha ny kaha ke tabdeelion ka matlab yeh hai ke hamaray kuch sathiyon ko kareem mein ab mukhtalif aur ziyada kaam karna parre ga aur deegar aaj hamein chore den ge kyunkay un ke liye ab koi kaam nahi raha .
wazeh rahay ke 30 April ko wazeer tansport Sindh owais Shah ka kehna tha ke jab taq lock down hai tansport nahi kholi jaye gi, transportrz ny har halaat mein hamara sath diya inhen akela nahi choden ge .