Home Lifestyle Dining lehsan ko khaali pait khanay ke tibbi fawaid

lehsan ko khaali pait khanay ke tibbi fawaid

309
0
lehsan ko khaali pait

lehsan ko khaali pait khanay ke tibbi fawaid

lehsan ko khaali pait khanay ke tibbi fawaid, zamana qadeem se insaan lahsun ka istemaal karta aaya hai, roman, Misri , irani, yahood arab aur duniya ki tamam aqwam ne lahsun ke fawaid par guftagu ki hai aur kisi ne aaj tak is ke istemaal ko khatarnaak nahi kaha .

usay masalha jaat ka sardar bhi kaha jata hai, yeh mutadid fawaid ka haamil hai yeh khoon ki gardish ko behtar karta hai aur nizaam haazma ko mazboot banata hai .

agarchay lahsun khanay ke baad mun se sakht badboo anay lagti hai lekin is ke be shumaar fawaid ki wajah se duniya bhar ke log usay khatay hain taakay un fawaid ka husool mumkin hosakay .

aaj hum aap ko lahsun ko khaali pait khanay ke fawaid bitayen ge

agar aap lahsun ko khaali pait khayen to pait mein mojood bacteria pait khaali honay ki wajah se bohat kamzor ho chuka hoga aur yeh lahsun ki taaqat ke khilaaf lar nahi paye ga jis se aap sehat mand aur kayi bimarion se mehfooz reh saken ge .

usay khaali pait khanay se jism ka mdafati nizaam mazboot hota hai aur insani jism bimarion se larnay ke liye mazboot ho jata hai .

lahsun aik qudrati anti biotic hai aur sardiyoon mein is ke istemaal se insaan khansi, nazla aur zukam se mehfooz rehta hai .

yeh khoon ko patla karta hai jis se aap ka nizaam douran khoon taiz rehta hai aur is ke sath sath aap ko buland fashaar khoon se bhi nijaat millti hai .

agar khoon ki shareyanien band honay lagen to rozana khaali pait lahsun ka istemaal karen to bohat jald aap ko mehsoos hoga ke aap ki tabiyat bahaal ho rahi hai .

agar aap ko jald ki kisi bemari ka masla darpaish ho to khanay mein lahsun ki miqdaar brhhadin, is se aap ke jism mein zahreeley maday kam hon ge aur jald tar o tazah rahay gi. is ke ilawa aasabi kamzoree mein bhi lahsun intehai mufeed hai .