lazeez aur khush zayeqa ras malai bananay ki aasaan tarkeeb
lazeez aur khush zayeqa ras malai bananay ki aasaan tarkeeb
Ajzaa .
khushk doodh 1 cup
anda phanta hua. 1 Adad
tail 3. 4 khanay ke chamach
backing powder ¼ chaye ka chamach
doodh 1 letter
cheeni 1 cup
pista badam 10-15 danay
Tarkeeb .
khushk doodh, anda, backing powder aur tail daal kar achi terhan mix karen jab mix ho jaye to uski balls bana len, aik daigchi mein doodh ubaal len aur sath cheeni shaamil kar dein, das se baara minute pakayen aur gaarha kar len .
lazeez aur khush zayega ras malai bananay ki aasaan tarkeebis ke baad woh balls shaamil karlen. un ras malaiyon ke sath mazeed 5 minute pakayen aur phir thanda kar len, ab aik pyaale mein nikaal kar pista badam se garnish karlen aur mehmanon ko paish karen .