Home Lifestyle Dining kya khanay peenay ki ashya se corona muntaqil ho sakta hai ?

kya khanay peenay ki ashya se corona muntaqil ho sakta hai ?

386
0
kya khanay peenay ki

kya khanay peenay ki ashya se corona muntaqil ho sakta hai ?

kya khanay peenay ki ashya se corona muntaqil ho sakta hai, Saudi wizarat sahet ke tarjuman dr Mohammad al – abad alali ka kehna hai ke khanay ke zariye corona virus muntaqil honay ka koi imkaan nahi hai .

arab media ke mutabiq Saudi wizarat sahet ke tarjuman dr Mohammad al – abad ulali ka kehna hai ke abhi taq khanay peenay ki ashya aur nizaam hazem ke zariye corona virus ki muntaqili ka koi bhi case record par nahi aaya hai .

tarjuman wizarat sahet ney corona virus ki taaza sorat e haal se mutaliq press conference mein breifing dete hue kaha ke khanay peenay ke bartano ke silsilay mein intahi ahthyat zurori hai ,

mumkin hai ke bartan virus se aaloda hogaye hon, is hawalay se ahthyat ki jaye, virus zada cheez ko chone ke baad aankh ya naak ko chone se virus muntaqil ho sakta hai .

wizarat sahet ke tarjuman ny kaha ke corona virus ki mazeed laharen ayen gi, zameeni shawahid se aisa lagta hai ke nai laharen pehli lehar jaisi taaqatwar nahi hon gi .

tarjuman wizarat sahet se sawal kya gaya ke haliya ayyaam ke douran krona se mutasireen ki tadaad mein kami ka ahem sabab kya hai? jis ke jawab mein unhon ny kaha ke is ki bunyadi wajah yeh hai ke sab log tamam hifazati tadabeer ikhtiyar kar rahay hain aur mamool ki zindagi guzaarnay ke silsilay mein ahthyat se kaam le rahay hain .