Home Health kya hichikiyaan bhi corona virus ki alamat hosakti hain ?

kya hichikiyaan bhi corona virus ki alamat hosakti hain ?

268
0
kya hichikiyaan bhi corona

kya hichikiyaan bhi corona virus ki alamat hosakti hain ?

kya hichikiyaan bhi corona virus ki alamat hosakti hain, corona virus ki ab taq mutadid alamaat samnay aa chuki hain, sab se aam alamaat bukhaar, gilaay ki soozish, saans lainay mein takleef aur soonghnay aur chakhnay ki hiss ka chalay jana hai, taham mahireen ka kehna hai ke mustaqil hichikiyaan aana bhi corona  virus ki alamat ho sakta hai .

Amrici doctors ke mutabiq unhon ney chand roz qabal aik 62 sala mareez ka ilaaj kya jo musalsal 4 din taq hichkiyon ke baais emergency mein daakhil kya gaya .

doctors ka kehna hai ke hichkiyon ke ilawa mareez ko aur koi shikayat nahi thi aur nah is mein corona virus ki koi alamat zahir hui .

doctors naay mareez ka x-ray kya to is ke phephray tashweesh naak haalat mein paye gay, phephray soozish ka shikaar they jabkay un se khoon bhi jari tha halaank mareez kabhi bhi maazi mein phephray ki takleef ka shikaar nahi raha tha .

is ke foran baad mareez ko bukhaar bhi hogaya, is douran doctors naay is ka corona virus ka test kya to woh misbet aaya .

doctors ke mutabiq CT scan naay mareez ke pehphron ki soozish mazeed wazahat se dikhayi, un ke mutabiq yeh soozish hi hichkiyon ki wajah bani .

Amrici mahireen ke mutabiq yeh ab taq un ke mushahiday mein anay wala corona virus woh pehla mareez hai jo hichkiyon ki wajah se emergency ward mein daakhil hwa .

un ka kehna hai ke corona virus ki nai samnay anay wali alamaat is baat ki mutaqazi hain ke wasee pemanay par virus ki alamaat aur asraat par tahaqeeq ki jaye .