kya anday waqai cholesterol barha satke hain ? andon ke baray mein kaha jata hai ke un ke khanay se jism mein cholesterol ki miqdaar barh jati hai, lekin kya waqai anday sehat ke liye muzir hain ?
aik maahir ghizaiyat manman ganrewal ka kehna hai ke anday ko is ki zardi ke sath khana chahiye, anday ki zardi, jisay cholesterol se bharpoor samjha jata hai, woh ka behtareen zareya hai .
unhon ne bataya ke yeh aik terhan ki charbi hoti hai jis se cholesterol ke metabolism par faida mand asraat muratab hotay hain, sath hi jism mein soozish daur karne ke liye bhi faida mand hain .
aik tehqeeq ke mutabiq anday khanay se cholesterol ki miqdaar par koi manfi assar nahi parta kyunkay yeh ghizaiyat se bharpoor hotay hain, un mein protein, bi vitamins, iron aur vitamin ae bhi shaamil hotay hain .
mahireen ka kehna hai ke aik din mein bohat ziyada ya bohat kam anday nahi khanay chahiye, tawazun barqarar rakhna sehat ke liye acha hai .