kya aap Africa ki aankh ke baaray mein jantay hain ?
kya aap Africa ki aankh ke baaray mein jantay hain, shumal maghribi africi malik moritanih mein sehraye sahara mein waqay insani aankh numa aik daira woh moamma hai jo ab taq science danon ko pareshan kiye hue hai, yeh nilgon daira kab aur kaisay wujood mein aaya, sir toar koshisho ke bajod mahireen ab taq maloom nahi kar sakay .
duniya ke teesray barray sehraa sahara mein waqea yeh maqam Africa ki aankh, sahara ki aankh ya rejit astrkchr kehlata hai. usay khalaa se bhi dekha ja sakta hai. yeh daira 25 mil raqbay par muheet aur mukhtalif aqsam ke patharon par mushtamil hai .
is dairay ko 1930 se 1940 ke darmain pehli baar dekha gaya aur tab se ab taq is ke mukhtalif pehloun par tehqiqaat jari hain taham ta haal is ke ban’nay ki hatmi wajah par nahi pouncha jaska .
rejit structure ke ban’nay ke barey mukhtalif mfrozat paish kiye jatay rahay hain taham canada se talluq rakhnay walay 2 mahireen arziat ne jo mafrooza paish kya usay khasa moutabar mana jata hai .
is mafroozay ke mutabiq yeh aankh aaj se 10 crore saal pehlay is waqt ban-na shuru hui jab hamari zameen mukhtalif braazmon mein batna shuru hui. is se qabal hamari zameen aik hi bar-e-azam par mushtamil thi .
is tamam amal se is gunbad ke bichon beech aur is ke ird gird fault lines bhi peda hogyin. is gunbad naay oopar satah par mojood choonay ke patharon ko bhi pighla diya jo is aankh ke wast mein mojood they .
duniya bhar ke mahireen ki is dairay par tahaqeeq ab bhi jari hai .