Home Lifestyle Dining kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj

354
0
kinnu mein chhupa

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj,mausam sarma ki aamad ke sath baghoon aur baazaaron mein jahan deegar phal nazar atay hain wahein vitamins ki doulat se malaa maal kinon bhi fiza ko muattar karte hain .

insanon ko har saal qudrat ki janib se diya jane wala yeh phal vitamin si samait deegar qudrati ajza ki doulat se malaa maal hai jis ke chilkay mein bhi woh fawaid posheeda hain jin mein se kuch ke baray mein aap jantay hon ge .

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj, wazeh rahay ke kinnu mein corbohydrate, fibre, protein, vitamin A, vitamin B, vitamin C, phosphorus aur potassium jaisi madniyaat mojood hain jo mukhtalif bimarion se larnay mein madad fraham karti hain .

haath paon sun honay ka ilaaj

haal hi mein honay walay surway mein mahireen ke samnay yeh baat aayi ke woh Umar Raseedah afraad jin ke haath aur paiir aksar sun ho jatay hain unn ke liye kinnu ka juice bohat ziyada faida mand saabit ho sakta hai .

mahireen ke mutabiq agar barri Umar ke logon ko teen mah tak rozana aik glass kinnu ka juice pilaya jaye to haath paon sun honay ka masla hal ho sakta hai kyunkay kinnu ka ras khoon ki miqdaar ko barha deta hai. haath paiir sun honay ka masla khoon ki kami ki wajah se paish aata hai .

dil ki bimarion ke liye mufeed

tibbi aur hikmat se wabasta mahireen ke mutabiq kinnu mein mojood vitamin si ki waafar miqdaar dil ki sharianon ko sakht honay se mehfooz rakhti hain jis ki wajah se koi bhi shakhs amrazِ qalb se mehfooz rehta hai .

blood pressure ke liye mufeed

mahireen ke mutabiq vitamin si khoon ko patla karta hai jis se ravani bahaal hoti hai aur is ki wajah se blood pressure ki kami ya zayad-ti ka marz bhi khatam hota hai .

cancer se hifazat

mahireen ke mutabiq kinnu mein mojood anti oxidents khaliyaat aur DNAe ko toot phoot se mehfooz rakhtay hain. wazeh rahay ke anton ke sartaan ka marz bhi un ki kami ki wajah se hota hai .

zahreeley madon ka ikhraj

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj,mahireen ke mutabiq rozana aik glass orange juice jism ke andar mojood zahreeley aur fasid madon ko khatam karta hai .

khoon ki ravani ke liye mufeed

kinnu ka istemaal nah sirf khoon ko patla karta hai balkay is ki ravani ko bhi behtar banata hai .

khoon ke khuliyaat ki afzaish

kinnu ya uss ka juice insani jism mein mojood surkh khaliyaat ( red sales ) ki pedawar mein izafah karta hai jis ki wajah se jism mein naya khoon peda hota hai .

mdafati nizaam ki mazbooti

mahireen ke mutabiq vitamin si insaan ke mdafati nizaam ko mazboot aur behtar banata hai, chunkay kinnu mein yeh vitamin waafar miqdaar mein paye jatay hain is liye aik glass juice ya aik kinnu rozana khana zaroori hai .

jild aur balon ke liye mufeed

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj,vitamin si ki munasib miqdaar jism ke difai nizaam ko hi mazboot nahi karti balkay khaas protein ki miqdaar ko mustahkam rakhnay mein bhi madad deti hai jo balon aur jald ke liye bohat zaroori hai .

kinnu vitamin si se bharpoor hota hai jabkay is mein vitamin ae bhi paaya jata hai jo balon ki nami barqarar rakhnay mein madad deta hai .

Difagi af-aal behtar bananay ke liye mufeed

kinnu mein mojood mukhtalif qudrati ajza jaisay potassium, vitamin bi, anti oxide dimaghi sehat aur af-aal ko behtar bananay ke liye bohat mufeed hain kyunkay potassium dimagh ki janib jane walay khoon ke bhao ko berhate hain jis se aasabi sargarmia barh jati hai, isi terhan vitamin bi barri Umar ki wajah se anay wali dimaghi tanzuli ki rokkk thaam ke amraaz se mehfooz rakhta hai jabkay yahi vitamin zehni amraaz se bhi mehfooz rakhtay hain .

haamla khawateen ke liye faida mand

kinnu mein qudrati tor par vitamin bi aur folic acid mojood hotay hain jo hamal ke douran khawateen ke liye bohat zaroori hotay hain. wazeh rahay ke folic acid ki kami bachon ke pedaishi wazan mein kami ka baais banti hai .

kinnu mein chhupa 15 bimarion ka ilaaj, ilawa azeen mahireen ka maanna hai ke kinnu ka istemaal khoon ki sharianon ki sehat, maiday ko mazboot bananay aur mousmi amraaz se larnay mein bhi madad fraham karta hai .

note : diabetes ke marz mein mubtala afraad –apne tabeb se mashwaray ke baad hi kinnu ka juice istemaal karen .