Kia ap jantay hain k ya phool kis chez sy banay hain?
Kia ap jantay hain k ya phool kis chez sy banay hain, tasweeron mein dikhayi dainay walay phool bzahir asli lagtay hain lekin dar haqeeqat yeh shukar se banay hue hain aur inhen khaya ja sakta hai. yeh phool brazil ki gonzaliz ke hunar ka saboot hain jo aaj se teen saal pehlay tak backing ke baray mein kuch nahi janti theen lekin aaj woh mashhoor hochuki hain .
qissa kuch yun hai ke leo siyana aik soul engineer theen aur –apne payshay mein kamyaab bhi theen. lekin 2017 mein woh is kaam ka dabao bardasht nah kar saken aur shadeed bemaar prhgyin. tab tak inhen cake pasteriyan banana bilkul bhi nahi aata tha .
shadeed bemari ki wajah se woh teen mahinay tak bistar se lagi rahen aur tabiyat sambhalny par unhon ne –apne ghar ke samnay waqay aik school jana shuru kardiya jahan khana pakanay aur backing ki tarbiyat di jati thi .
waqt guzari ke liye unhon ne wahan se cake pasteriyan banana aur backing seekhna shuru ker dia aur dekhte hi dekhte is mein inhen bohat maza anay laga .
un ki banaye banaye hue cake aur pasteriyan sirf mazedar hi nahi hotay balkay soul engineering ke shobay mein apni mahaarat istemaal karte hue woh inhen khobsorat bhi bana detin .
jald hi woh cake pasterion par laganay ke liye shukar se banay phool itni mahaarat se tayyar karne lagen ke jinhein dekh kar asal ka gumaan hota hai. phir unhon ne apni mahaarat ko mazeed badhaya aur phool patiyon ke ilawa, shukar se mukhtalif phal bhi tayyar karne lagen .
aaj un ke banaye hue cake nah sirf sao paalo mein balkay poooray brazil mein –apne zaiqay aur khoubsurti ke liye mashhoor hain. pichlle saal unhon ne instagram par’ ‘ gonzaliz sugar flwr’ ‘ ke naam se apna page banaya aur aaj is ke taqreeban 60 hazaar followers hain .