khush zaiqa pistay ke mosam e sarma mein fawaid jaaniye
khush zaiqa pistay ke mosam e sarma mein fawaid jaaniye, sardiyoon ki aamad ke sath hi dukanain aur thelay anwaa o aqsam ke mewa jaat se sajay hue nazar atay hain aur har koi apni pasand ke meway khareed kar le jata hai. yeh khushk meway jahan hamari ghizai zaroorat poori karte hain, wahin serdion ke manfi asraat se mehfooz rakhnay aur hamein tan durust rehne mein madad dete hain .
moong phali, chalgozay, kishmish, akhrot, badam aur pista har chhootey barray ko pasand hai aur un sab ke allag allag fawaid hain. isi terhan sardiyoon main khaas tor par pista bohat faida mand hai. khushk mewa jaat mein chiknai aur hararay waafar miqdaar mein paye jatay hain jo be had faida dete hain. pista bhi unhi mein se aik hai jis ke chand fawaid jaan lijiye .
mahireen ghizaiyat ke mutabiq pistay anti oxydents ka khazana hain jo cancer aur dil ke amraaz se bachanay main madadgaar hin aur yun hamein tawana rakhtay hain .
aksar log apni khoraak main gosht ko munasib aur zaroori miqdaar main shaamil nahi rakh paate. un ke liye pistay nihayat mufeed hain. yeh hamaray jism ki protein ki zaroorat poori karte hain .
yeh mewa hamari aankhon ke liye bhi mufeed hai. mahireen ke mutabiq pistay mein do anti oxydents liteen aur zee acsenthon paye jatay hain jo “motiyan aur barri Umar mein is uzoo ko mutasir karne wali bemariyon ka rasta roktay hain .
fibre se bharpoor yeh mewa hamaray nizam haazma aur anton ki sehat ke liye bhi mufeed hai. mahireen ka kehna hai ke pistay maiday mein mufeed bacteria ki tadaad main izafah karte hain .