khraton se chutkaray ke liye gharelo totkay

    361
    0
    khraton se chutkaray

    khraton se chutkaray ke liye gharelo totkay

    khraton se chutkaray ke liye gharelo totkay, neend mein kharatay lena aik umomi masla hai jo aap ko neend ki kami ka shikaar bhi kardaita hai, kharatay maarny walay apnea Nami bemari ( sotay huay saans ruknay ka amal ) ka shikaar ho jatay hain .

    tibbi mahireen ka kehna hai ke sotay huay  kharatay lainay walay afraad heart attack ka bhi shikaar ho saktay hain, khraton se chhutkara panay ke liye gharelo totkon  par amal kya ja sakta hai .

    mahireen ke mutabiq neend aur sogar  level ke darmiyan talluq mojood hai aur shadeed noiyat ke kharatay haemoglobin ki miqdar ko  kam kardete hain jis se diabities ka khatrah barh jata hai .

    wazan ghatana

    ziyada wazan khraton ko imkanaat ko barha deta hai, wazan ghatanay ke liye khoraak ke sath sab se ziyada tawajah werzish par den .

    saans mein aasani peda karne wali cheezon ka istemaal

    bazaar mein agar aap naak ya gilaay ke kisi masla ka shikaar hain to zaroor aisi adwiyaat ka istemaal karen jis mein menthole paaya jata ho, kyunkay podina saans ke raastoon ko khol deta hai .

    Tambaku noshi ka khtama

    tambaku noshi gilaay ke tissues ko bahrakna deti hain jo baad azan khraton ka baais bantay hain .

    nathnon ki safai

    raat ko sonay se pehlay achi terhan naak ki safai karen is ke baais aap ko sukoon ki neend lainay mein madad miley gi .

    Dairy masnoaat
    raat ko derye masnoaat ka istemaal karne walay log aksar gilaay mein balgham peda honay jaisay masail ka shikaar ho jatay hain aur phir yahi cheez khraton ka baais banti hai, lehaza shaam ke waqt aisi khoraak se guraiz karen .