Khoon mai glucose ka mukhbar khordbeeni soyon wala kagzi steaker
Khoon mai glucose ka mukhbar khordbeeni soyon wala kagzi steaker , diabities ke mareezon ke liye hama waqt khoon mein glucose ki miqdaar par nazar rakhna zurori hota hai kyunkay is se majmoi sahet mutasir hosakti hai. ab Tokyo university nay aik kam kharch aur muasar kaghazi pewand banaya hai jis par intahi bareek soyyan nasb hain jo khoon mein shukar ki miqdaar note karti rehti hain .
palimer ke chhootey tukron ko aam tor par khurd beeni soyyon ke pewand bananay ke liye istemaal kya jata hai yani palimar par chotti aur bareek soyyan nasb ki jati hain. jald par chipaknay ke baad jab un par dabao dala jata hai to soyyan kisi takleef ke baghair jald mein utar jaty hain. jald ke neechay khaliyaat mein mojood maya oopar charhata hai aur is terhan baar baar takleef do soyyon ki bajaye aik pewand se khoon mein shukar ki miqdaar note ki ja sakti hai .
ab university of Tokyo ke science danon ny azkhud ghul kar khatam honay walay hayatiati palimar ko pighla kar is mein kuch namak milaya taakay tikoni shaklon ki andar se khokhli nookain ban saken jinhein soyyan keh satke hain. is sanchay ko ultaya gaya taakay soi ki noke oopar ki simt aajay aur parlimer ki hamwar satah ko kaghaz par chipka dia gaya .
hatmi marhalay mein glucose ki miqdaar ko zahir karne wala aik kaghazi sensor lagaya gaya aur usay tajurbah gaah mein aazmaaya gaya to soyyon naay kamyabi se shakar bhara maya oopar khincha. is ki tasdeeq rang badlne wali kaghazi sensor se hogayi. tawaqqa hai ke un ibtidayi tajarbaat ke baad usay mazeed behtar bana kar kaghazi pewand ka khawab poora kya jasakay ga .
Tokyo university ki team par umeed hai ke is terhan ke darjanon kaghazi gloco meter chand rupoo mein banaye ja sakain ge aur log ghar baithy inhen istemaal karkay khoon mein shukar ki miqdaar se waaqif hosakin ge. taham is zimn mein mazeed tehqiqaat jari hain .